As salamu allaiqum.
Main is baat ko apne tajurbaat ki bina per samjhane ki koshish karon ga ke kya jadu se bimari hoti hai. Dekhen, jadu se do tareeqa ki bimarriyan hoti hain.
No 1: Jis ko hum log rohani bimari bolte hain ya batini bimari bhi bolte hain.
No 2: Jis ko hum log zahiri bimari bolte hain.
Main ne bohat sare case kiye hain, to un mein aisa hota hai ke jab shuru shuru mein victim per jadu chalta hai to us ko bimari nahi hoti. Yani us ko takleefein to hoti rehti hain—kabhi kuch to kabhi kuch—lekin bimari nahi hoti. Agar test karwao to bhi sare test clear aate hain. Doctor bolta hai aapko kuch nahi hai, halanka yeh rohani bimari jinnat wa jadu se ki gayi hoti hai.
Baaz auqat to aisa aisa jadu wa jinnat kiya jata hai victim ke upar ke bimari diagnose hi nahi hoti. Bas victim bechain rehta hai, pareshan rehta hai. Kabhi yeh dawa kha to kabhi wo dawa kha, ilaj successful hota hi nahi hai. Kabhi is doctor ko dikhaya to kabhi kisi aur ko, lekin maqsad mein kamyab nahi hota. Bas ilaj chalta rehta hai lekin theek nahi hota. Yeh to thi jadu se ki gayi rohani bimari jo aapko batayi hai.
Ab aa jate hain jadu se ki gayi zahiri bimari par. Ek bari zabardast aapko hadees batata hoon jis se aapko yeh baat samajhne mein aasani ho jaye gi. Hadees yeh hai ke "Shaitan insan ki rago mein khoon ki tarah dorta hai" aur yeh authentic hadees hai. Ab jab jadugar jinnat chorta hai victim ke upar to us ke jinnat poore jism mein ghoom rahe hote hain, to wo bimariyan dalte hain. Jinnato ko pata hai ke kaise bimar karna hai victim ko.
Main ne khud bohat se victims ko bimar hote hue dekha hai. Bohat se aise cases aaye jin logon ko cancer ho gaya, kisi ko typhoid ho gaya, kisi ko motion lag gaye. Yeh kehlati hain zahiri bimariyan jo test mein aa jati hain.
Zadatar jadugar yeh bimariyan lagata hai victim ko:
- Ulti aana.
- Cough aur khansi ka baar baar hona.
- Mede mein dard rehna.
- Pait mein dard rehna aur motion aana.
- Bukhar baar baar aana.
- Jigar kharab hona.
- Bawaseer hona.
- Peshab ka baar baar aana aur gurdon mein dard hona.
Yeh normal jadu mein hota hai. Agar jadu extreme ho to phir to baat is se bhi bohat aage barh jati hai.
agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa hamare kohi or dosare kisi be kisam ki help support nahi ha
amel soname
amel_soname@yahoo.com
No comments:
Post a Comment