Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

KALA JADU SEHAR_E_ MOHOBAT KA QURAN PAK SE TOOR

 

bazz log jadogaro ka pass ja kar khas toor se yeah amal karvata hai in main orate be hotee hai aur marad be yeah is liya kartee hai ka in ka lover in se mohabat kareen laken in ko pata nahi ka ahsa karna se insan kitni saket takleef main ah jata hai main tamam logo ko mana karta ho ka wo yeah kam na kareen
is kisam ka kam se insan bht takleef main ah jata hai is ka sides efect be bht hota hai kisi ko kabo karna ka liya aur us ko apni mohabat main giriftar karna ka liya bht sare jado karna parta hai us banda per jiss se wo banda devana ho jata hai jis ka ishq ka liya jado kiya hota hai aur apna sare sence kho deta hai aur apna hosh wa hawas main nahi rehta us ko uthta betha sota jagta main wohe banda aur ushe ka khail ata rehta hai jis ka ishq ka liya jado kiya hota hai aur be bht se nooksan hai chonacha jadogar orate ya marad ka wo kapra mangwata hai jis se is ka pasena ki boo ah rahe ho phir wo is k kuch dhage nikal kar is per dam karta hai aur phir ise gherah laga deta hai is ka bad orate ya marad ko hukum deta hai ka wo ise gayer abad jaga per phack de ya phir wo kisi khana ki cheez per dam karta hai jis main nejasat ya khone, has ki melawate hotee hai phir hukum deta hai ka wo khana pena ki cheez main is melade
jis per sehar muhabat hota hai dam ka doran is ka hath payer sun ho jatee hai ya sir ya sena ya meda main darad shoro ho jata hai khas kar is waquat jab is ko jado pelaya ho ishe shaded meda main darad ho sakta hai aur kah be ah saktee is kisam ka jado ka toor main qurani likh deta ho
yeah amal sirf muslim kareen non muslim na kareen us ko ijazat nahi
mareez per qurani dam 3 dafa kareen or pani pena ko deen in aiyato ka
1) surah yonus ki aiyat no 81 to 82
2) surah araf ki aiyat no 117 to 122
3) surah taha ki aiyat no 69
4) aiytal kurse
or
al taghabun aiyat no 14 to 16 3 dafa telawat kareen


ager zarad ya lal ya black colour ki ulti ah jahe to samjh lay k is jado ka toor ho gaya hai verna 4 hafta tak yahe pani pena ki talkeen kareen ya is waquat tak jab tak is ka jado toot na jahe is baat ka pata dushman ko na ho jis ny us per jado kiya hai khowa wo bewi ho ya shoher ho ya kohi be dost ho ager us ko pata chal gaya to wo dobara ja kar jado karveda ga



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com



27 Responses
  1. Abbasi Says:

    Dear Soname sb,

    Umeed hai k aap khaireat say hou gay.

    apna just itna short introduction kerwaoun ga k may khud Amliyaati line may last 3 saal say hou. but koe khas kamyabi nae huwi.

    dousri important baat k last 1 saal say aik "Mohabbat" ka case hai but talib waha per Shadi kerna chahta hai, may nay khud b kafi try ki hai but hou nae raha. tou is bary may aap kia kahay gay.

    ap k jawab ka muntazir


  2. agar kisi ka piar door jai aur wo kala jadu b na karay to quran kia mudad kur sukta ha.


  3. Aslam o Alaikum,

    Me ne aap ka tareeqa elaj net pe dheka hai , i s ki sab se ache bat ye hai k aap Quran e Pak se elaj karte hain. mere aik masla hai mere choti behan k jism pe khud ba khud cut lag jate haimn. log kheta hain k kala amal hai buhat elaj kia hai waqti tour pe dab jata hai mamla magar khuch arse k bad pher start ho jata hai. Aap se guzarish hai agar aap koi hal bata sakeen Quran e Pak se. tu buhat nawazish ho ge.

    Thanks


  4. Assalam Alaikum Bhai,

    Mera naam Mohammed Ayub Ali Khan hai aur main India,hyderabad se talluq rakhta hun. Main aaj par kuch Islamic articles ki talaash kar raha tha jahan par mujhe aapke Articles mile to jo Kala jadu ke baare mein the aur wahin se aapka blog bhi mila. Bahut bahut Shukriya ye sab information sabhi logon se share karne ke liye.
    Main aapko keh raha hun darasal main ne aapka wo article padha hai jiska title hai "Kala Jado Ki Pachan", aur main ne poora article padha. Lekin mere bhai main padh kar kaafi pareshaan ho gaya hun jiski wajah se ye e-mail kar raha hun aapko aur aapka kheemti waqt bhi kharaab kar raha hun. Bhai asal mein aapne jo-jo batein ya Nishaniyan us article mein batayin jo total 56 se zyada hain, mera takhreeban waisa hi haal hai.Aap ne jitni nishaniyan batayin us mein se takhreeban 85-90% mera haal hai is waqt jaise Namaz aur Quran se door ho jana, Gande aur bure Khwaab ka aana, Khwaab mein darr jana,gande toilets aana,baar-baar paishaab ka anaa etc etc aur aise kai batein hain jo is waqt meri halat hai. jiski wajah se main pehli hi kaafi pareshaan hun aur aaj Ittefaqan aapka article padh ne ka mauqa mila.

    Bhai jab aapne ye article likha hai "Kala Jadu ki Pahchan", to iska hal bhi bata sakte hain kya? mera matlab hai kya aapke paas iske Qurani Ilaaj ke baare mein kuch malumaat hain. Main Indian mein jab tha to teen-chaar aalimon o bata chuka un aur un sabhi ka kehna tha ki mujh par jadu hai, aapko ye karna hoga, ya waisa karna hoga, ya jadu utaarne ke liye kuch samaan chahiye jiske liye itne paise kharcha honge etc.....Lekin meri halat ya mere halaat mein koi sudhaar nahi aaya. Aur mere Ghar walon ka bhi takhreeban yahi haal hai.
    Mere walid sahab ka inteqaal bhi aise hi halaat mein hua tha 2006 mein.aur mere walida, bhai,bahan aur biw aise hi halaton se guzar rahe hain. Ab to meri na ammi se sahi banti hai na biwi se aur na bhai se.

    Main ye sab soch soch ke kaafi pareshaan hun. Aap please agar kuch iske ilaaj ke baare mein bata sakte hain ya kar sakte hain to please batyein. Allah aap ko aur aapke ghar walon ko iska ajar dega.

    Alalahfiz

    Mohammed Ayub Ali Khan
    Saudi Arabia


  5. uzma akhtar Says:

    salam,

    app nay jadu kat tore ka blog bana ka buhat hi acha kaam kia hai....u do rohani eladge.....

    wats ur requirements.....for knowing wat type jadoo...name ,mother name...

    regards,,,


  6. Javed patel Says:

    asslamu alaykum
    Hazrat kala jadu k bare me aapko bahot ilm he
    Muj par bhi sakht kala jadu he aap ke zahad me koi bada jadugar he? Muje ilaj karwana he ALLAH aapka bhala karega


  7. Anonymous Says:

    can u tell how to find the place where the thing on which magic is done is kept like in kabrstan som1 has hidden some taweez and how to find it


  8. umar Says:

    Meri umar 28 saal hai mujhe apni 64 saal ki parosan se mohabaat ho gai hai,mere family members meri shadi ke liye mana karte hain,bahut preshan hoon,uske bina reh nahin sakata,keya karoon.mujha lagta ha us orate ny mujh per jado kardeya ha. her waquat ushe ki yaad ate ha bus dil karta ha ushe ka sath raho her waquat ushe ka zikar karta rehta ho Please solve my problem.


  9. Anonymous Says:

    dharm veer

    Meri umer 30 saal hai,meri shadi ko 11 month ho gay ne per meri gharwali gharwalan di te meri koi vi gal nahi sundi jo vi kardi hai ohho appani maa te naani de kehn te chaldi hai jis kar ke mere ghar witch kalesh rehnda hi papa de godean ch dard rehnda hai jo docter de ilaj ton vi thik nahi ho riha hai pura ghar bimarian nal ghirey hoya hai te mera kam te koi vi thikana nahi hai jis kam te lagda han uss witch nakami mili hai te sare hi lagde ne je mai appna kuch karn di soch da han tan sare passe to na ho jandi hai, tusi khuda de bande ho mere te rehm karo te khuda di rehmat bakkshao.please solve my problem.


  10. tahir Says:

    aslam o alekum, sir mein apse ye pochna chahta hon k mere phupha jan kuch hafton se bemar hein wo jub madicine istemal karte hen to theik ho jate or bad mein phir wese hi ho jate plz ap hamein beta dein k wo khuda ki tarf se hi ha ya kisi ne kuch kiya ha,


  11. haider Says:

    assalam u alaikum
    main ne apki aaj website visit ki .. mujhe b kuch esey hi masley darpesh hain .. ik larki mere sath parhti hai or main us se mohabbat krta hn .. usi k masley k silsalay main mei aap se contact kr raha hoon .. uske maa baap ki bhi love marriage hui thi or wo bht khush rehtey thy, unka ghr multan main tha lekin aaj se kuch saal pehle uske walid sahab ka koi masla hogya or unko sb kuch chor k nd beich k lahore main ana para or jb wo idr aye to uski mami ne unke ghr ana jana bht zayada shuru kr dya or uske baad uske maa or baap main larayan honi shuru hogae
    dono k kamrey bhi elehda elehda hogaye, uski maa uske baap ko mami se milne se rokti thi to hamesha larae hoti thi, or phr uski maa ki tabyat kharab hone
    lg gae unki ek bimari theek hoti thi to dosri shuru hojati thi akhir kar wo himmat har gaen or aaj se ik saaal pehle wo wafaat pa gaen, usi time inke ghr ik molana shb aye thy jinhon ne ye pesheen goi ki thi k inpe jadu hua wa hai or wo do orton ne kia or unhon ne ye bhi kaha tha k apke ghr samp (snake) ata hai jo baat baad main sabit bhi hui .. hamsayon ne unke ghr ki chat pe sanp dekha tha or wo samp ghayab ho jata tha .. uski maa ki wafaat k baad bhi uske baap ne uski mami ko milna bnd naheen kia or aaj tk milta hai or jb ye ghusa ya naraz hoti hai apne walid se to wo 2 3 din ruk jatey hain lekin phr wohi sb shuru hojata hai .. iska ek chota bhai bhi hai jo abnormal hai or isko bhi koi na koi problem hoti rehti .. iska sar har waqt dard krta rehta .. pehle isko periods naheen hotey thy or phr jb honey lagey to kafi arsa rukey hi naheen thy phr uske baad sahi time se hone lg gae lekin jama hua khoon ata tha or ab phr usko 8 din k baad hi periods shuru hogaye hain .. uske walid jadu ko naheen mantey or sb kuch unke samne hi hai lekin phr bhi kuch naheen mantey, esey main wo koi amal bhi naheen krne dete, main to uske liye na mehram hoon to islye main ne poochna tha k main uspe kuch parh k phhonk skta hoon ya phr usko dam wala pani de skta hoon ? or mujhe kala jadu k barey main ilm bhi naheen islye main sahi trhan pehchan bhi naheen kr skta k uspe knsa jadu hua wa hai .. uski mami k pass black magic ki books bhi hain jo usne khud dekhi theen .., aap please mujhe btaen k esey main mujhe kia karna chahye mujhe uski bohot parwah hoti hai .
    wassalam


  12. asma Says:

    salam mera name asma hai meri shadi ko 7 saal ho gaye hai abi tak olad nai plz ap mujay bata sakty hai koi bandish wagriya to nai and plz pray for me is well
    ALLAH HAFIZ


  13. nadeem Says:

    A.O.A,

    amel soname sahib kya ap kisi victim k barey men bta dete hen k us pr black magic ha ya nehi?


  14. adnan Says:

    Dear Brother,

    Mujay apki website mili aur buhat achi lagi kalay jado kay baray main jo kuch apne bataya. well pehlay mujay iskay baray main yaqeen nahi tha aur main namaz bi parhta hon panch waqt ki nahi par phir bi koshish karta hon par i guess mujay ahista ahista shak ho raha hai kay hum logon par kuch jado hai,
    main aur mera bhai saudia main hotay hain aur pechlay aik saal say hamaray kaamon main rikawatain ziada ho gaye hain aur buhat ziada nuksanat ho rehay hain main pechli dafa umrah karnay bi giya tha aur allah say dua ki thi kay bas meray aur meray bhai kay noksaan na howa karain par i guess ab mujay yaqeen hota jaraha hai kay hamaray rishtay daron main say hi kesi na kesi nay kuch kiya hai. meray abu ko sugar bi hai aur buhat beemar rehtay hain. aur jab kay meri shaadi kareeb hai tu mera sponsor transfer ka process phans giya hai aur main buhat preshaan hon.
    ager ap kuch help kar sakain aur mujay kuch amal bata dain tu allah apko buhat jaza day ga

    i will wait for your reply


  15. mohsin Says:

    Assalam-0-Alikum,

    amel sahab mai mohsin hoon karachi se aur meri insha ALLAH jald he shadi hone wali hai ek se do mahenay mai
    mere to hone wali wife hain un k sath masla ye hai k unhain raton mai bilkul nend nahi aate they ab to kam ho gai hai laiken abhi bhi un k dil mai bechani rahte hai koi na koi afat un k sir pe ate hai wo zyada daer tak khush nahi rah sakte agar wo khush hote hain to koi bohat bare taklef dard ya agar kuch bhi na ho to ghar ki taraf se tension ho jate hai mai ne amel ahmed sahab ko bhi call ki they par unhon ne thek se bat nahi ap se mai darkhast karta hoon k please ap in k baray mai pata kar k mujhe batain k in pe koi asar hai ya nahi
    ap ka bohat ehsan ho ga mujh pe
    Shukriya


  16. Anonymous Says:

    mara nam rehamatullah he mera masla ye he keh main jo bhi kam karta ho us main nuqsan utatha hoon or qarzdar hojata hoon beroon molk gia lekin halath ne sath nahee dia men sakhth parishan hoon qarzdaron ne tang kia howa he baraye mihrabani aap meara masla dekain keh asal masal kia he or iska elaj jald as jald batayain janab ki bari mihrabai hogi


  17. Sabrina Says:

    Mohtaram Janab Amel Saab, Assalam-o-Alaikum,

    Mera naam Sabrina hein, main apney barey mein maloom kar na
    chahati hoon. key mey parne key bawjud exam mey fail
    ho ja ti hoon. Aksar parhai ke time dil nehein lagta. Mein chahati hoon
    key mein parhahi (study) mey kameyaab hoo ja hoon aur career acha ban jaye.

    Wasalam,


  18. Anonymous Says:

    salaam
    kya aap ruqyah kar sakte hain ham log India se hain kya yeh mumkin hain ki aap wahan se hi elaj kar sakte hain agar nahin hain to ham khud hi wahan aajayenge kya aap pooro details bata sakte hain please


  19. Anonymous Says:

    Assalam-o-alaykum,
    mera masla ye hai keh mai nai aik private company mai interview diya hai two week pehlay wahan ka deputy manager bhi mera dost hai lekin abhi tak wahan say koi call nahi ai. Aap bohat ilm walay hain baraye mehrbani aap kuch karein takay call a jaye aap ki bohat mehrbani ho gi. Company ka name “Tariq Glass Industry”. Post Computer data entry ki hai.


    Assalam-o-alaykum.


  20. waris Says:

    Assalam o Alaikum


    im Abdul waris from karachi pakistan


    mery sath kuch masla 6 months se chal raha hai mujy samaj nahi araha hai k yeh kia masla hai kafi molvi k pas gia hoon
    likin kuch faida nahi howa hai masla ye hai k har time meri tabiyat ajeeb si rehti hai kisi chez mai dil nahi lagta har waqt dar sa laga rehta hai aur koi kaam b nahi hota hai sath mai kefiyat b kharab rehti hai aur dil mai bohat ziyada bechaini rehti hai bohat ziyada jis ki waja se na mujy kahee betnay mai maza ata hai na kaam mai kisi b chez mai dil nahi lagta bezar hogia ho aur baaz time mery kanday bari hojaty hain
    aur hathoo mai dard shoro hojata hai jesy jis mai koi chez gussi howi ho 6 se 7 months honay ko hain likin mujy koi farak nahi phar raha hai meri aap se guzarish hai k aap meri madad karo is ka ajar ALLAH aap ko dayga aur jab tak zinda ho aap k liye dua karonga
    aap se request hai k mujha jawab day aur hosakta hai aap ki waja se ALLAH PAK mera masla hal karday


  21. Anonymous Says:

    Mujy batain meri bahan sakhat perashan hai apny mian se kisi Larkin kchakar main hain plz help karain plZzzzzz


  22. Anonymous Says:

    Agar kisi aurat ka sohar kisi aur ladki ke pichhe dusri country chala gaya ho aur us biwi ko sohar ke bartav se lage ki us ladki ne uske sohar par kala jadu kiya he isliye vo us ladki ke pichhe biwi se juth bol kar biwi bachcho ko chhod kar kisi aur country me chala gaya to ab itni dur se biwi uska ilag kese kar sakti plz jaldi reply kare vo aurat bahot sadme me he uski help kare plz


  23. Anonymous Says:

    As salam o aliakum mai ek larke k chakar m phas chuki hu be had pareshan ho mujhe kuc aesa btae m bure kam chor do sare


  24. Anonymous Says:

    Thank u for nice sharing. Ap ki blog sa mjay bht help mili.


  25. Unknown Says:

    Tell me pleasssssssss
    Ap Hindu hai ya Muslim?
    Aur Sab Ap say sawal kartay hai magar ap nah reply nahin likha hota.
    In ka Ap reply b kartay hai ya nahin.?


  26. Anonymous Says:

    aslaimoalikum.....meny apko eik masla or btana tha k mjy aisa mahsoos hta hai jesy koe mjy cheerta hai or khas tor py raat ko jesy koe mery 7 kch kr raha h mn bht tang ho is k lye b kch bta dyn...


  27. Annomous Says:

    Assalmualikm sir..
    Umeed hy Ap heriat sy hongy...Aur Khuda apko lambi umar dy taky logo ki khidmat ahsan tareqy sy de sako...
    R/Sir,
    Khuda har kesi ko achi sehat aur acha chehra dy tako din k kamo ko achy tarah niba saky... may jab b kaha b jata hu chahy univerty,bazar yae rishtadaro may jaha per b jata hu tu aksar may na observe kia hy k larkio ka dekan muj py hota pata nahi muj may asi kia hy. mera masla yae hy k may ny bohot payr ki hy likn jo masla may apko bata raha hu yae mamla kuch different hy...ik larki ti jo hamry reshtadr hy likn wo mujy txt karty ty may kahi mahino tk ignore karta raha likn wo mujy br br txt karty aur es tarh hamri baty bar gayi likn mera usky sat koi pyr nhi ta. Ik dun usny mujy ik taveez dedy aur kaha k yae nazar ki taveez hy usy right hand py rakly tu may ny hat py raklya..likn usky baad may uska majnoon hogiya nendo may wo ati hy tanhai k socho may bi kany penay may ati har min har sec wo he wo ati her waqt yahi sochta hu k wo meray samny hu aur zindagi bar may usay dekta rahu her waqt meray demag b wo bety hy na may pari kar sakta hu aur na koi kam kaajik din may bohot tang agiya k yae may kia karaha hu qnk us larki ki shadi b huwi hy likan usy apna shohar pasan nhi may ny soch bechar bohot ki kia karo us larki say itna pyar kesi paida huwa uski shadi b huwi hy aur mera pyr din ba din bar raha hy aur wo bi mujy nhi chorti ahir esa qqqqqqqqq may tu mental horaha hu yae sub mary sat kia horaha hy es larki ny mery neend uradu hy kia karo may..???


Popular Posts