
jadoo ha kya . is cheez ko main bohat acha se samjha ny ki kushes karo ga ka yeah akhir cheez ha kya . jadoo ake fun ha . ake art ha . jis ko bohat he khas log istamal kar sakta ha her kohi is fun ko istamal nahi kar sakta . or her kisi ka bus ki baat be nahi ha . yeah ha ake bohat khaternak fun is se khod jado karna walay ki jan ko khatra hota ha or jis per jadoo hota ha us ki be jaan ko khatra hota ha , or yeah baat jadoo karna walay jadogar ko achi tarah pata hote ha ka agar amal ulta ho gaya to us ki jaan be ja saktee ha
jadoo ake shaitani amal ha . app logo ny suna to hoga shaitan ka bare main kitaboo main , quran main , ahadees main , ka shaitan hamara dushman ha , or yeah hum ko barbad karna chata ha . or hamare her kam ko tabah wa barbad karna chata ha or shaitan ka maksad sirf tabahe wa barbadi ha . jadoo depend karta ha totally shaitan k uper . is main shaitan ko razee karna parta ha tab ja kar shaitan jadogar ka kam karta ha . shaitan ko razee karna k liya jadogar ko bohat bohat bore kam karna parta ha , jo app logo ki soch se be bahar ha. ya u samajh lay ka shaitan ko khush karna parta ha to wo phir jadogar ki madat karta ha . agar shaitan kush na ho ya raze na ho to wo jadogar ki her guzz madat nahi karta . jadogar jo bore kam karta ha wo bakaheda main detail main bata choka ho apni post jadogar ka darjat main yeah post sirf jadoo ka bare main ha , shaitan ka maksad tabahe wa barbadi ha is liya kala jadoo be tabahe wa barbadi ha , is ka karna se sirf tabahe wa barbadi he ate ha
jadoo ko log kala jadoo ka naam se q jaanta ha akhir is ki kya waja ha ?
halaka yeah ake shaitani amal ha or jadoo kohi be ho chahe sufaid ho ya kisi be rang ka jadoo ho jadoo jo ha jadoo hota ha laken sawal yeah ha ka jadoo ko zada tar log kala jadoo ka naam se q janta ha
takrebon tamam jitna be jadogar ha unko yeah baat achi tarah maloom ha ka jadoo jo ha wo raat ko bohat tazz kam karta ha takrebon sare he jadugar raat ko apna jantar mantar karte ha or jitna be dave davtaoo ka mantar karte ha wo raat ko karte ha or kabrustan be jadogar raat he ko janta ha q k raat ko yeah shaitani kowateen jaldy apna asar andaz karte ha or kam mintoo main hota ha ake faida yeah be jis kisi per be yeah log jadoo karte ha to yeah log zada tar raat he ka intakhab karte ha q k raat ko victim so raha hota ha . or sote howa banda per jadoo zada asar karta ha or usko maloom be nahi parta ka us per jadoo ka hamla howa , ake waja yeah be ha ka shaitan ko soraj ki roshni main kam karna main thore takleef hote ha ya u samajh lay ka din main jadogar agar jadoo 100 percent kare ga to us ka jadoo bajahe 100 percent chal ny ka 50 percent chalay ga laken raat ko inhe jadogar ka jadoo 100 percent chalta ha . is liya yeah log raat ki tariki ka intakhab karte ha jadoo karna k liya . ya agar yeah log apna ghar main be karte ha jadoo to bohat andera kar k taka jadoo foron kam karen . zada tar jadoo kala kapre ,. kali asia , ya kohi be kali cheez per kiya jata ha . q k kali cheez per jadoo karna se jadoo bohat strong hota ha is liya yeah log kala rang ko zada tarji deta ha . is waja se log jadoo ko kala jadu ka naam se pokarte ha
dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com

Assalam o allekum Mohtaram Amel Sonemi Sahib,
Amel Sahib main bohat pareshan hun or main apko apna masla batana chahti hun, Allah aap ka bhala karey ga barahe meherbani aap mujhe guide kerain.
Mera naam sumaira hai Main apne behan bhaion main sab say bari hun. Sir masla yeh hai keh mera koi acha munasib rishta nahi aya. Main last 4 years say wazaif kr rahi hun magar koi asar nahi hua. Some one said me to recite Surah Baqrah for 41 days I recited but kuch nahi hua. Phir mainay ayat-e-karima ka wird 125000 times kia but koi effect nahi hua. Or is k ilawa bhee mainay bohat say wazaif keay but kuch nahi hua. Amel sahib kuch arsa pehlay meray khwab main aik aurat aai wo meri khala ki shakal main thee and she said keh sumaira tum pr jadoo hai.Mainay apni mother ko btaya unhon nay hans kr baat taal de or kaha kuch nahi hai. Amel Sb. agar rishtay ay bhee to bohat strange jesay aik rishta aya to wo lrka jobless tha, aik rishta aya to wo lrka student tha. Bohat log meray parents say rishtay ka zikar bhee krtay hain but koi baat conitue nahi hotee. Amel Sahib main last 5 years say job kr rahi hoon or meray parents kehtay hain k bas tum job he kro. Shadi kr k kia krna hai. Amel Sb. Log mujhe taanay detay hain mera mazak uratay hain. Meri aik friend nay mujhe kaha k ho skta hai koi bandish ho. Amel sb mainay apki website “kala jadu ka torr Quran pak say” main rishtay ki bandish door krnay k leay wazeefa 11 martaba surah maryam wala wazeefa bhee parha hai but kuch nahi hua. Wazeefay kay doran mainay kafi ajeeb say khwab bhee dekhay. Mian bohat pareshan hoon amel sahib or mujhe bohat ziada ghussa bhee ata hai. Koi kehta hai mujh pr bandish hai, koi kehta hai mujh pr jadoo hai. Meray parents kehtay hain kuch bhee nahi hai. Please aap mujhe btain main kia keroon.
aslam o alikum
Mera name ayajuddin hy mai inter padkar BHEL hyderabad me job kara phir us ke baad degree karnekeliye job chod di (matlab chaligayi) phir mujko pichle 4-years se koyibhi job nahi milrahi hy mai bahot pareshan hun mujko abhi khud-khushi karlena dil bolrahahai mai ab kya karu plzzzzz batawo.mera koyibhi kaam hone jarahy phir nahi horaha hy. abhi meri umar 25years ka hu plzzzzzzzzzz meri madad karo.
as salaam alaikum amel soname sahaab allah app ko deen duniya main tariqi ata farmain ameen summa ameen allah app ko huzur akram sallalaualli wasallam ki shafaat ata farmaye ameen summa ameen .har namaaz main mere dil se ye dua nikalti hai.Allah app ko janttul firdouse main aala mukkhaam ata farmayeee ameeen.
1 Q) meri khala ko ek amil ne jadi buti se kala jadu ka amal ,aur bandish kar ke khiladiya.magar wo dawaa nahi nikal rahi hai.is se meri khala ki tabiyaat kharaab hogayi..Reports main normal dikha raha hai.ALLah ke wastey jadi buti ka amal aur bandish qurnic verses se tor hojaye.muje batayee..app ka reply keliye intezar kar rahaan hoon...
sir manay abhi enter kay exam pas kiya hai... or exam main mjh per copy case hogya thaa. per wo masla hal hogya bht mushklat kay bad... or phir manay bht universities kay test diya hain... lahore lums univesity ma mera name aa agya tha per bad ma name gaib ho gya.... phir manay COMSATS UNIVERSITY ISLMB ma test diya... majay 100% yakeen tha ma select ho jaon ga...per maray sath aik dost select hogya... usay manay parhaya tha... per main select ni hosaka... or HAMDARD university karachi ma bhe test diya tha... merit list ma mera name 21 number pa tha....
pls ap meri madad karain.... mera hisab laga kar btain... meray sath aisa kyn ho raha hai....
mohtaram amel sb
meray ghar ma kala jadoo ka shak ha,meri bhan/father aksar bemar rehtay han,aur bahnon ka rishta bhi nahi ho raha
mera bap aksar rota rehta ha,sakht parashani ha.
barai merhbani koi acha islami amal ya jasay aap kahan mera madad krain
ma pakpttan kay aik village ma rehta hon
koi amel agar pakpattan/okara/sahiwal ma ho to bari merhbani ho gi
aap ki madad ki bohot zaroorat ha
shukaria
Salam Sir.
almost 7,8 saal pehlay ki bat hai k mje aik din achanak ajeeb nukas huwa meri aankhon k aagay full time andera cha geya.aur sath hi mera damag b ghoom sa geya.mje kuch b yaad na rehnay laga.yad,dashat intahai kamzor ho gayi aur mje metric k papaers chornay paray.
kafi logo se consult krnay k baad pata chala muj kala jadu hai..aj mera ye haal ha k mje kuch yad ni rehta ha,har waqt sar chakrata ha,sar me shadeed dard,raat ko neend me baar jag jata ho,sakoon bilkul ni ha,kuch samaj ni ati kisis heez ki b,
In short i am not a normal person now.takreenab pagal ho chuka ho me sir.
Plz meri help karain
JANAB,
Main job karti hoon. Mere sath job karne wale 12 sal se bhai bhen ki tarah the .Lekin hamare yahan ek kafir aurat job ke liye ayi. O Aurat hamare main phoot dal kar ladai karwa rahi hai. barae maherbani karte hu ai us aurat ka moon band karne ki koi tarkib bata dain to badi maherbani hogi.
AssalamoAlikum! Amil Sab ma bahir mulk jane kelea english ka test dana chahta ho.(IELTS) laken es ma bohat zada number lane ha matlab 90 total number ha to 75 es ma lane ha.ab ma 2 mehene kelea es ke tayari b aj se shoro karta ho. ap muje koi asa amal, waziefa wagara bata da ke Allah mere gabi madad kar da avr ye test pas ho jaye. jazakallah...
Amel Soname saib! Mera name Muhammad Imran hay meri Meri city multan hay.mun sher shah by pass ke nazdek rehta ho. Mun multan or muzafargarh k darmauan mun ho jata ho. Daruae chanab k nazdek rehta ho. Mun ne metric pass ke hay. Ab fa ka soch raha ho. Amil sahib mun ne apke blog parhe hun. Mujhe ap par pora yaqen hy .mun sach ke raha ho. Ap ke blog parhne k bad mun sach or jhot mun farq kar sakta ho. Ap ke webside se mujhe boht se bato ka pta chala hy. Jo mun pehle na janta thaa. Mun yatem ho. Mere 2 chacha hun. Mere sanbhalne se pehle mera walid fot ho gua. Bachpan se meri walda mujhe pal rehe hy. Or meri behno ko bhe. Mun ne aj tak onhun kuch kama kar nhi khilaua. Mere chacha sirf eido par hamun eid kharchi dete hun. Or kuch nhi. Amil sahib matric bhe mun ne boht mushkal se pas ke hy. Amel sahib mujhe apke madat ke zarorat hy . Hamare han 6,ya 7 month pehle 3 admi fot howe hun. Mere rashta dar the qarebi. Bas jab tesre fotqe thee to os rat se mere tabiat kharab howi aj tak thek nhi howi. Os raat ko mujhe aysa laga k mere marne ka waqt aa gua hy. Mun bhe 40 din bad mar jao ga. Amil sahib ap yaqen karun mujhe bil qul ayse jese koi chez mujhe qeh rehe thee k to mar jae ga. Log khaha karte the k mot 40 din pehle batati hy. Is lue os din se mera dimag band ho gua. Jese nashe mun rehta ho. Or ayse jese mun is dunya mun bhe nhi ho. Haqeeqat mun amil sahib mujhe aysa lagta hy. Or allah allah kar k mun ne 40 din guzare or mujhe malom howa k ye mot nhi thee. Kuch or chez ka 100% mot jesa dar thaa. Os din se amil sahib mera dimag yani zehn band howa aj tak thek nhi howa. Or pehle to boht khof thaa lekun ab kuch kam howa hay. Aj tak bhe khofzada ho . Mujhe pta nhi ye kon sa khof hy. Mot jesa khof hy aj bhe. Mun 3 amilo k pas bhe gua apni maa k sath. Koi kua kehta thaa . Or koi kua kehta thaa lekun mun thek nhi howa. Docto k pas bhe gua k mera dimag band hy lekun wahan bhe thek nhi howa. Amil sahib mujhe ap par yaqen hy ap meri madat karun. Ap mujhe btaun mun kua karo . Please amil sahib meri madat karun. Amil sahib meri madat karun .
Mun ap k jawab ka intazar kro ga.
assalam alaikum,
amel sahb mainay aapki site parhi hai bht achi site hai,
main us main mojod amliyat ki ijazat chahti hon,
mera ek msla b hai meray mangetar ki tang ek hadsay main cut gei thi ab un k gosht main infaction hogeya hai jis ka koi ilaj nahi hai doctorz kehtay hain k unko cancer hojayega,
ALLAH k wastay koi ilaj tajwez farmadijiye jis se unko shifa hojaye,
or main chahti hon meri jald se jald unse shadi hojaye hadsay k baad wo ab shadi kare pe razi nahi hai,
plz help me,