As salamu allaiqumajj kal ake nahe bemare ahe howi ha . jigar ki . jis ki waja se log bohat pareshan howa va ha . zadatar jigar ki bemare kala jadu se hote ha .kuch garam cheeze mirch masla khan aki waja se be hote ha .laken zadatar jigar ki bemare jadugar ka jadu tona ki waja se hote ha. jigar ka kala jadu main hota u ha sab se pehla jigar ko target banaya jata ha . ake insani putla bana kar sohe per amal kar ka putla ka jigar main chobahe jate ha. wo sohe sede victim ka jigar main chubte ha . shoro shoro main to jigar main helki helki dard hote ha. phir ahista ahista jab jadugar bar bar jadu karta ha to yeah marz tazz ho jata ha . natija yeah hota ha ka jigar bar jata ha . phir jigar sahe kam nahe karta zara sa be kuch khao to ulti or matli ki shekayat honi shoro ho jate ha .tabiyat bojal bojal or kharab rehtee ha. aksar chal na phir na main be jigar main pain hote ha .. agar jadugar bar bar jadu karta rahe to victim ko piliya yani yarkan ho jata ha .ishe tarah jab jadugar bar bar jadu karte rehta ha to yeah yarkan se kala yarkan ban jata ha. jis ko hepatitis A B C kehta ha phir victim bechara jaga jaga hakimo , doctors or rohani babo se dam karwata rehta ha. kabe tabiyat theek ho jate ha to kabe tabiyat kharab . jab victim apna haptitis ka test karvata ha to us main jarasim ka rate kam hota ha to jab wo next hapatitis ka test karvata ha to us main jarasim zada hota ha .bar hall yeah sil sila chalta rehta ha .or victim ider oder pareshan ghoomta rehta ha k hai Allah main kya karo or victim ka is ilajh main lakho rupa lag jata ha tab be theek nahi hota hapatitis .sab se pehla is ki basic waja ko samjha ka hapatitis ka ilaj akhir q itna mushkel ban jata ha .jab jadugar bar bar jadu karta rahe ga to us k jadu ko bar bar kaat na pare ga q k jadugar jan nahi chorta is liya ahe din tabiyat kharab he rehtee ha jab kisi se dam karvaho to theek ho jate ha or phir kuch din baad wohe halat .is liya is ka ilaj main bar bar jadu kaat na parta ha to ja kar tabiyat theek hote ha verna tabiyat or zada kharab hote ha is liya yarkan ka ilaj main bar bar jadu kate is bemare ka ilaj ha lamba or kuch pata nahi ka jadu karna wala jadugar kab apna jadu karna band kare ga .is liya is ka mosal sal ialj kareen jesa jesa victim jadu kaat ta rahe ga us ki tabiyat be theek rahe gee agar jadu nahi kate ga to bemar rahe ga belka or zada tabiyat kharab hogee bazz okat to tabiyat itni kharab ho jate ha ka pet main pani bar jata ha or victim ki jan per ban jate ha is liya is jadu ka ialj zaroor kareen
Alamateen yeah ha
1 hath pair main see agg nikal na
2 jigar ka sojh jana kabe kabe kabe hath or mu dono soja howa mehsos hona
3 rang pela ya kala hojana
4 matli or ulti mehsos karna
5 jigar or meda main dard rehna
6 dil ki darkan tazz rehna
7 ankho main jalan rehna
8 pishab pela ana kabe kabe pishab jal k ana
9 chai pena se ya kohi garam cheez khana se tabiyat kharab hona or jisam ka garam hona
10 pet ka phul jana or akar jana
11 ganda ganda badboo dar gas ana or poti be badbu dar ana
is kisam ka jadu tona ko bar bar kateen taka victim theek rahe
1 sobah fajir ki namaz k baad surah fatir 3 dafa pareen
2 zohar ki namaz k baad surah rehman pareen 2 dafa
3 asar ki namaz k waquat surah kosar 300 bar pareen
4 magrib ki namaz k waquat 1 bar surah yonus pareen
5 raat ko sota howa apna hisar kar k sohe 4 qul or aiytul kurse se or jalali mokelat recitation raat ko play kar k so jahe yeah is liya play kar k sohe taka jab jadugar raat ko jadu kareen or jo be jinnat chora to un cheezo ka asar ushe raat ko khatam ho jahe taka app ki body damage na ho
agar app ny mera in tareko per amal karliya to main yaqeen se yeah bat keh sakta ho k apki zeendage main 70% tak theek ho jahe gee or apki zeendage bohat assan ho jahe gee inshallah
dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com

Dear Sir,
may nay apka bolg read kiya barah acha lga..jazak allah acha mera masla hy k may bohat pareshan rehta hon or mere kaam may bhe rakawat arahi hy or mera mind bilkul maouf rehnay laga hy kuch kernay ka sochta hon tuh ker nahe pata i am very depressed mere ghar per boray asraat hain aesa kuch amiloo ny kaha hy, kindly provide me best solution .
Salam alaykm Amel Soname
Allah ap ko khaair wa afiat day, may kabhi kabhar aap kay blogs partha rahta hoon. Mojhay koch problems ho rahay hain jis ka mojhay aap ke rahnamy chahaiye.
may khod bait howa hoon, mojhay koch baray maslay ho gai hain or hamary peer sahab ke tabiat bohat kahrab hay to onsay rabta nahi ho pata.
May nay khod be Allah kay fazal say quran say koch surahs ke parahai kke hoi hay. Bahar hal masla chonkay apna hay to mojhay koch samjh nahi araha.
Details yae hain kay
mera apna computer wagera ka kam hay lekin wo eik dairh sal say bohat he kharab ja raha hay os may bohat badish kisi nay daliy hoi hay or os ke wajha say bohat he
zaida moflisy hay ....customers atay hain lekin jistarha har customer ko ya to koi problem ho jata hay ya pher wo atay nahi yae to eik problem hay
Lekin main problem hay ho gaya hay kay aab kisi nay mary ghar ko tornay pay lag gaya hay mery wife kay sath meray mamlat begartay gai or pechaly haftay
onkay bahi or sath may eik dosst onka aye or mohay batay bagair wife ko or bachon (4 bachon) ko lay kar chalay gai....ab wo wahan say bachon say thory baat
kara daitay hain or wife baat nahi kkarty wo kahtay hay kay talaq lainay hay ........or chonkay may raat ko dua or surahs wagara parhta thaa to wo mjhay badnam
karrahy hay kay may jadoo karta hoon jab kay mojhay in cheezon ka koch nahi malom.....bahar hal yae to sarsary say information hay mojhay jo help chahiaye hay wo
Problems yae hain
1. Wife of bachay meray khelaf hain or bachon ko beh achanak mojh say koi lago nahi ...wife ko beh or wo talaq or khola wagera ke batain kar rahy hay or
yahan sya dosray shahir beh chaly gai hay .............may beh wahan 2 hafton may ja raha hoon ........
2. karobar may jo bandish hay yani ....tamam logon say jin may apnay ghar walay beh reshtay dar beh or kam walay beh sab meray khilaf ho jatay hain
chand he dino may .
solution yae chahiaye kay
1. ghar totay na or sab wapis normal ho jai inshAllah jab may wahan jaon ya abhi
2. karobar thora chal rhaa hay wo normal ho jai
Salam
ap kaisay hain. ma na ap ka net pa parha ha. ma ap sa pouchna chati hoon ka ap meray maslay ka haal kar saktay hain. mera masala ya ha ka ma kisi ko pasand karti hoon or wo b mujay pasand karta ha lakin wo muj sa shadi nai kar sakta. us ka maa baap ko meray baray ma pata chala to unon na us ka zabardasti nikha kar diya kyon ka larki bhar mulk ma ha or wo phalay larkay ko or pir us ka ghar waloon ko settle kar dain ga. lakin larka nai chata whan shadi larkay ka ghar waloon ko wo pasand nai lakin ak to lalch or dosray muj sa picha chorwanaaay ka liya wo ya kar rha hain.
Kiya ap meri shadi us sa karwa saktay hain ka us ka ghar walay raazi hoon rishta lanay ka liya.
agar haan to kitanay din lagay ga kyon ka meray pass time nai ha or wo larki kisi b waqat pakistan asakti ha.
plz meri maadad karain
ap ka koi phone number ho to bata dain
As Salamu Allaiqum
alim sb
sir ma ne ape se kuch bat araaz kar ni hai k mari beham kuch salo se mari behan ki jimmani halat thik nahi hai or wo kabi thik ho ja ti hai aik sal pehal hum ne kice alim ko dikha ya tha tu ius ne bol k ape k ghar mai ki ne jado kar di ya hai phir un no ne kuch pece le kar thik kar di ya per abe 2 din se ius ki tibyat phir kharab ho ge E hai or hamare ghar mei bhi kuch thik nahi ho reha hai kabi abo bemar tu kabi dusri behan or kabi mari bhi tabyat kharab ho ja ti hai lehaza hum ne bhot se logo se pocha hai tu wo k reha ape k ghar per jadu karwa di hai plz ape is masle ka hamesha k li ye hal nikal de
Salam
janab mera aik problem hai, aap ke website dekho to youn laga ke shayad aap us ko solve ker sakte hain . mujhe aik lerke buhat passand hai wo mere sath kaam kerte hai..mujhe lagta hai ke wo be mujhe thora buhat passand kerte hai.. laikin jab mein us se apne bare mein baat kerta hoon to wo is tarah zahir kerte hai ke woh mujhe sirf apna dost samajhte hai..mein chahta hoon ke woh be mujhe se pyar kerne lage.. kia aap is bare mein mujhe kohi taveez de sakte hain jis ke badolat us ko mujh se be pyar ho jahe... plz mein aap ke leye duwah go rahoon ga...
salam o allaiqum
Janab inshallah app khaeriat sey hogey, mainey aap ka blog dekha, mai bhi phichley 4 saal sey bahut pareysan hu. maira bhai ek aisi ladki chakar mai jo har lihaz sey usey pagal bana rahi hai par vo hamari baat nahi manta hai, hum log kaffi paisa bhi barbaad kar chukey hai ,agar aap hamari madat kar saktey hai to allah key liye hari madat karey
Assalam alaikum, mera ek masla hai mein ek ladke se bohat mohabbat karti hu,me usse shadi karna chahti hu,aap pls aapki choti behen samjkar meri maddad kijiye.aisa kijiye k woh ladka mujhe khud chalkar mujhe shadi k liye bole. Allah hafiz
Assalamalaikum,
Mera naam fuzail hai, pichlay 2 saal say mere business mei kaafi pareshaaniya aarhi hai aur mainay kaafi aamilo ku poocha to unhunay kaha ki jaadui asraat hai, zameeni asraat hai aur uski bandish kari. uskay baad bhi kuch bhi nahi hua hai.. please aap kuch bata saktay hai.
Assalamoalaikum,
na mujhe aur mere gharwalon ko jinn aur jadoo wagairah ke bare me sahi
se koi ilm hai na hamlog kisi ko kuch karte hain.lekin hame sataya ja
ra hai hai.hamare abbu ko unlogon ne jado karke mar diya aur phir
jadoon kar rahen hain.hamlogon ne abbu ke intekal ke baad is cheez ko
ALLAH ke faisle per rahne diya, intekam lene ka koi irada nahin kiya
lekin wo log pareshan kar rahen hain.mera nam zahid hai main delhi me
jamia millia islamia university se b.sc kiya haun.plz! Madad kijye
main bahot pareshan hun.ALLAH Apko iska behtar badal ata kare.hamlog
us par koi zulm nahin karte hain.bas kisi bat par wo hamlogon se hasad
karte hain aur wo lo jado tona me bahot mahir hai apne taqat ka izhar
galat tarike se karte hain.
aslamualicum bhi jan kia hal hai aap ka allah se dua hai ke aap ko allah kheriat se rakhe
5:49 PM 5/24 bhi janmere sath bi or sare gar walo ke sath koi na koi masla chalta rhta hamare sab kamu ka mamla bandish se hai kia bhi jan aap hamari allah ke hukam se madad karenge allah aap ko apni aaman me rakhe aamin
mohtram...mere ghr pe kisi ne black magic kia hae molana kehte haen ki ghar me bht evils or jinn haen jo yahan rehne walon ko sukoon se rehne nahi denge aap log ghar chod do...aap bataen koi ghar kaese chod de itna aasan haekiya...bhr hal ye bhi batate haen ki meri badi bhn jo ab is duniya me nahi rahi uske liye kisi ne doll me suiya chubba ke do kabron ke bich gad din ...us time hamne bht koshish ki ke koi molana uske ooper se kat de magar koi nhi mil paya ...or dr ne use brain cancer bata ya or wo intiqal kar gain.....abhi choti sister ki seht bht kharab hoti ja rahi hae or shadi me bht der ho rahi hae uski wajh seht banti jarahi hae..fathr kolast year dr ne cancer bataya unko ham logon ne ghr se hata diya or treatment karaya ab allah ke shukr se wo thik haen magar ghr jate hi kuch na khuch problem hojati hae to wo ghr se bahar hi haen....dono bhaiyon ki shadi toot gai...bachche idhar udhr me rul rahe haem...batate sab haen kat bhi kari hae mmgar faeda kuch nahi hota...ham log aksar 41 bar sureh baqar bani pe dam karke sab log pite haen or ghar ko bhi dhodete haen...kabhi sureh kahef 41 dafa padhke sab log pani pite haen or ghar dhote haen...gharke sare log manazi tahajjud guzar haen...or allah ka zikr karne wale haen...roohaniyt se bhi talluq hae
.....aap batae ke ham log kiya karen...4 qul,aetalkursi or bhi bht sari aureh roz ka mamool hae sare ghar walon ka raat ko bhi sabhi log padh ke sote haen....
aap ye bataen ke ghar pe se kat karne ka koi tariqa hota hae kia...kon hae jo hamen barbad dekhna chahta hae....hamen usse nhi matlab magae jo bhi gad diya gaya hae kia wo nikala jasakta hae ya uska asar blkl khatm kia jaasakta hae....uska tariqa bataen or agar aap kar sakte hon to pls karden bht maherbani hogi
allah aap ko iska ajr duniya or akhrt dono me dega...
pls reply me soon
asalam o alaikum,
hazrat umeed karta hon ap theek hongay , mera naam zeeshan ha , main ek larki say pyar karta hon aur os say shadi karna chahta hon ,main Alhamdulilah 5 wakat ka namazi hon aur main nay har parhae kar kay dekhli lakin mujay nakami mili zaroor mujsay ghulti hoe hogi , lakin is duran mujay yeh samnay nazar anay lag gaya kay wo larki mujsay shayad jhot bol rai ha , per main 100% baat pata karna chahta hon , wo larki bolti ha kay osko brain tumer ha , isliyay wo mujsay shadi nai karaygi kyo kay wo kehti ha kay osko apni zindagi ka bharosa nahi ha , main jaan na chahta hon kay kia wo larki such bol rahi ha? osko such main cancer ha kia?
aur agar cancer ha tu kia kisi kay jadu say ha?
aur agar jadu say tu kia koi aisi parhae bata saktay hain kay main osko don?takeh wo parhay ?
dosri baat agar such main cancer ha tu bhi koi parhae bata dain jo wo parhain.
teesri baat , wo larki mujsay mukhlis ha ? nahi
agar nahi ha tu , mujay aisi parhae dain , kay main os larki ko aisay bhol jaon jaisay kabhi mila hi nai tha , oski sari yadain bhol jaon , meri niyet saaf ha , main shadi karna chahta hon per agar wo larki mujsay mukhlis nai ha tu main , pechay hat jaoga bus agar meray dimagh aur dil say wo nikal jay . os larki ka naam , mehreen ha , mother name , tahmina ha .
meri dosri bari mushkil yeh ha kay main 3 saal say london main hon aur phir bhi abhi tuk 0 hon , yaha anay say pehlay jin buray halat main tha aj bhi wahi hon , meray sir per qarza ha feesay hain , agay mustakbil kuch nazar nai ata , main 2 saal say har wazeefa kar chuka qarzay utarnay ka , mera qarza phir bhi wahe ha , ek banday ka bhi qaraz nai utar raha , bulkay jo kamata hon nuksan ho jata ha , mujay ek hath say paisa milta ha per 2 hatho say paisa nikalta ha , ek kharzo say dosra nuksanat say , mujay apna mustakbil nazar hi nai ata , umar bhar gae , ma bap muj per umeed laga ker bethay hotay hain kay main onka bazo ban jaon , per meray apnay hi qarzay aur feesay nai utar rahay , main khud kay pairo per khara hi nai ho pa raha , meri madad karain , mujay kuch batayen , main 3 din wala ilam e hamzat karlon? mujay koi nuksan tu nai hoga? aur agar 3 din main kuch na hoa main amal 40 roz tuk nai sun sakta chor donga , tu kia chor don tu nuksan tu nai ,
mujay jawab zaroor dena .
Aslam-Allikum BAHI APP KO AK BAAT BETNA CHAHTA HOON MUJE KHAWAB ATEY HAI JO PUREY HOTY HAI MEIN NA KHANA KABA KEE ZEYARAT BEE KE HAI NOOR ALLAH BE DEKA HAI BAHI MERI PERSHANI HAI KA KOI KAAM BE MUJE SA PROPER NEI HOTA HAI AGER MEIN PROPER KERO BE KAMYABI NEI HOTI PLZ HELP ME IF U CAN MEIN BHUTE TANG A GAYA HOON BAHI PLZ KUCH BATO KAYA PERO KAYA KERO MERI AMIE BE BHUTE PERSHAN HAI PLZ REPLY ME SOON
Assalam Alaykum,
Mera naam Hoor hai aur mere ma ka naam Rani Begum hai, muje office main bahoot neend ati hai jaise hi main enter hoti hoo to, aur mere tabiyat bhi bahoot kharab rete hai, muje ek nahi kam se kam 4 e 5 bimariya hai jise main bahoot pareshan rehte hoo, 1. Sardi, 2. Allergy, 3. Acidity, 4. Piles and 5. Fistula yeh sab bimariyu se main bahoot pareshan rehte hoo, kya app mere leye istekhara karke bata sakte hai ki waqae kisi ne mere upper koi jado ya sipli ilm to nahi kiya hai. Muje shak hae mere ex-saas per, mujse namaz bhi nahi hote hai, bahoot chate hoo padna per nahi hoo pate hai, haa office main bait ker jaise taise quran ki tilwat to kar lete hoo, per namaz nahi hoti please mere help kijeye.
As Salam O Alaikum
Aamel Sonami sahib Rana kehte hen merey sath kuch rohani masael hen kia main aap se mill
sakta hon kia aap mujhe bataen ge aap karachi main kahan rehte hen yaa phir aap ka aastana kahan per he. Me aap k jawab ka intizar karon ga.
kya aap mujh se mile begar mere problems solve kar sakte hen to please kar di jiey meri shadi , meri job aur meri
taleem me kuch rukawat malom hoti he mujhe.kia aap dekh kar bataa sakte hen me kia karon in rokawaton k liey yaa agar aap mujh ko koi
istekhare ka tarika bata den jo main khod kar k dekh sakon k merey sath kia masala he.to main aap ka dil se mashkor rahon ga.
As.salam.o'alykum
maine apke blog parhay internet pe aur mere sath bhi amal bandish ka masla hai maine kafi jaga se ailaj karane ki koshish ki magar koi faida nahi hua !! ab yeh nobat agai hai k mere walda peechay hat gain k woh alaj k ly kahin leke nahi jainge mujhe!
main aik larkay ko pasand karti hun maine istakhara b karaya aur bohat acha aya magar woi masla k bandish ki wajah se ab humare bech sab khatam horaha haI
meharbani kar k mujhe iska hal batain, mujhse kch ghaltian bhi hui hain jinki maine tauba bhi ki hai magar phir b mera masla hal nahi hota ! mujhe asa batain k mere us se shadi hojay aur jo bandish hai mere upar woh toot jay, apki bohat meharbani hogi..
meine apki tehreer parhi kale jadu se related. mein apko 1 baat btaon mera jadu pe bara yaqeen hai k ye barhaqq hai lkn mjpe kisi ne krvaya nai tuo mjy koi knowledge nai hai ALHAMDU LILLAH 5 waqt ki namazi hun lkn pichle 2 saal se hmare halaat kharab se khrab tar ho rhe hein hr waqt ghr main jhagra mein apne pure khandan se naraz hun sbse bad dill hun mjy kuch acha nai lagta or meri nmazain b mjy koi faida nai detin mjy nai pta tha k ye kya hai mjy lga mere father ki death ka sadma hai jo mein ab tak brdasht nai kr pa rai lkn hmare ghr se kuch taveez mile tuo mjy samjh aya k ye sb kya hai
mein bht pareshan hun samjh nai aa rha kya krun mere fiance pe b jadu kia gya hai unka chalta kaam dino main bnd ho gya
meri maa tuo kehtin hein k ALLAH k kalam main bara asar hai wo parho bt pata nai kyun meiin isse b baddil ho gai hun mein kehti hun agr ALLAH k klam main itni taqat hoti tuo kisi b naik bande pe b ye jadu kaam na krta lkn hmare nabi pe b hua tuo hm kya cheez hein
Assalam_o_alaikum Amel Sahab !
Mera naam Ghulam hai, meri walida ki tabiat boht kharab reh rahi hai her achay se achay doctor dikhaya hai per faida nai horaha hai, hamare kuch rishtay daar hain jo hum logon se jealous feel kartay hain, Alhamdulilah mein doctor hon wo log es mei bi khush nai k mei aagay parhoon or aagay barhoon, zindagi mein hamein sirf nuksan puhchana chahtay hain wo log hamare oper har tarah k jadoo, sifli, taveezat or pata nai kia kia cheezein karvatay rehtay hain aisa hum log ko kahin se pta chala hai, meri walida ki tibiat din ba din boht kharab hoti jarahi hai, JISM per kalay rang k dhabay partay hain or aj kal unka moun bi sooj jata hai, khuda k liye meri mada karein, meri apni tabiat bi theak nai rehti, meri walida hi mere liye sab kuch hain , meri rehnoomai karein
Aslamu Alaikum,
mujhy app kee rehnumaiye kee sahat zarorat hae.may nay ap kay baray may net pay buhat perha hay, mera masla bohut ajeeb hae mere 2 sisters hain or humare parents nahi hian. mere behnain mere samne bohut sari gair ikhlaqi herktain ker rahe hain or peta nahi kion main bebus hon aik lefaz bhi nahi bol sakta un kae samne. un kae samne jate hee mere zaban bund ho jate hae. mujhy kuch sahi galat mehsoos bhe nahi hota. mujhy kisi nae keha hae mujh per jado kae zariye zaban bund kerva dee hae. mehrbani ker kae hisab sae betain kae aisa kuch ahe ya nahi.
aas salam alaikum.
merah naam syed hai...mai aapni bahenoh ke bareh bath kernah cah ta hu aapse.....
1. badi bahen ke peth meh kuch cheez hai joh stomach keh aatrafh firthi hai...kai ilajh kerwai mager kuch nahi huwah...peth meh woh cheez waise hai aue meri bahen ka stomach pulteh rahetah...yeh chiz pureh 3 saal se hai meri bahen keh peth meh.....patah chalah hai ki kala jadu kuch kerwayah gayah hai..... aap iska kuch todmujhe batai......
aager aap iska kuch ilaj batai toh mai aapka shukr guzar rahungah.....allah aap ku iska aajer aur sawab degayh....
aapkeh jawab kah intehzar rahegah mujhe...allah hafiz.....
2 & 3 bahen keh bareh meh aapku jawab milneh ke bath bataungah.......allah haiz
me ek ladki se bht pyar karta hu or wo b mujhe bht pyar karti h hum dono sadi karna chahte the or jab humne apne ghar walo ko batya to wo b man gaye the per is ladki ki sadi pahle se hi kahi fix thi n jab isne mana kiya to ladke walo n pata nahi kya jadu kiya k achanak sab ulta ho gaya n humare ghar wale us ladke ki taraf ho gaye or jabardasti uski sadi kar di gai or bad me mujhe pata chala k ye sab us ladke or ladke k ghar walo ne sab jadu tona (vasikaran) ke jariye se kiya or us ladki k uper b kiya h...ab ap ye bato k me kya karu kese ye jadu ka asar khatm hoga n kya ab phir se hum ek ho sakte h ha aj b me usse sadi karne ko tyyar hu per wo ladki to is jadu tone se azad ho or mere pas aye plz ans dijiye n hepl kijiye humari plz kya ab kuch ho nahi sakta h kya phir se humari sadi nahi ho sakti kisi b tarike se plz humari help karo
Main buhat weak hun
Assalam u aalaikum,
Maine apka salah nama pada mujhe bahut hi acha laga me bhi salah lena chahta hu kya mujhe kuch salah de sakte ho kyunki mujhe bhi piliya hau hai apki salah se dor inshallah hua toh acha hai mere liye
DAU ME YAAD RAKHNA
nice Post, MAy God Bless you :)
nice
Allah aapkey duniya aur aakhirat key masail kou asaan karein.