Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

kala jadoo bemare ka quran se tor

 

As salamu allaiqum
mana bohat se ahsa log deakha ha. jo mosal sal bemare rehta ha . or bechare kahe kahe sal tak bemar rehta ha . un becharoo ko asal waja pata nahi hote laken wo hospitals or doctors ka clinic ka daka khata rehta ha or apna ilaj karvate rehta ha . jab jadogar victim per jado karta ha to wo us ka jisam main bemareya dalta ha kabe kuch bemare lagte ha to kabe kuch or kabe kabe to bemare picha he nahi chorte victim darbadar ki tokar khata rehta ha apna ilaj k liya. ka shayed mera is doctor se ilaj ho jahe ya fala hakeem acha ka mera wo ilaj karden ga ahsa main kuch din dawa kam karte ha us ka baad davahe kam nahi karte. ya ulta victim ko nooksan pouchate ha . victim ko ushe dava se reaction hona shoro ho jata ha bar hall victim mosal sal bemar he rehta ha jab us per kala jadoo bemare ka dala jata ha
is ki Alamat yeah ha
1 mosal sal bemar rehna yani bemare picha nahi chorte ha .
2 saloo sal bemar rehna bazz umar dar log kahe kahe sal se bemar hote laken wo ahse zeendage chalte ha.
3 kabe kohi bemare lagte ha to kabe kohe ake k baad ake new bemare ready rehtee ha
4 medicine asar deakhte ha thore time ka liya us ka baad wo kam karna band kardetee ha .
5 davahe ulta reaction karte ha doran ilaj
6 kabe kabe davahe faida he nahi karte
7 dil ki darkan tazz rehtee ha
8 sir main dard or helka helka bukhar rehta ha

is kisam ka jadoo ka tor main likh deta ho
yeah amal mushkel ha bemar ya us ka ghar main se kohi be kareen bemar k liya

1 surah falaq 1000 bar daily pani per dam kar k bemar ko pelahe 5 namazo ka time k baad
2 surah bakara ki tilawat play kareen victim k sarhany sobah or sham 1 bar
3 jab victim thora sahetyab ho to wo her namaz k baad surah yaseen 10 dafa pareen
4 her kam karna se pehla bismillah pareen
5 pak saaf rahe her waquat or raat ko sote howa surah noor ya surah maryam per ka sohe
inshallah kuch he dino main bemare wegara sab bagh jahe gee inshallah


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com



22 Responses
  1. tahira Says:

    Assalam Alai kum
    Mai jis ke bare mai likh rahi hu woh bahut majboor talakshuda aurat hai us ka ek baccha bhi hai magar ek admi ne use bahut pareshan kiya hai aur kar raha hai maine aap ke bare mai net par dekha isliye aap se mashwara lena chaha ki kya use us admi se chutakara mil sakta hai woh us admi ki ma ka naam nahi janti us ki majburi mai aap ko bata nahi sakti pls aap muje abhi jawab de dijiye phir mai us se call karwa dungi


  2. farah Says:

    meri shadi ko 7 months hogaye hain aur shadi k baad sey he mujhe apney periods sey pehley bleeding shuru hojati thi ruk ruk kar 3 4 din hoti hai aur phir bohat heavy periods aatey hain. doctors ney kaha yeh uterus infection hai lekin bohat medicines lene k baad bhi farq na para. phir aik imam ney bataya k aap per kala jadoo kar k aap ki bacha dani block kar di hai take bache na hon. aur imam k pass mere masle ka hal nahin tha.. aap ki web site per mein ney kafi dua dekheen hain.. please kuch aisa wazifa dein jis sey meri bacha dani khul jaye aur mein conceive kar sakoon .. Allah apko iska jar day ameen


  3. Anonymous Says:

    Salam Amel sahab.... bhai mere sath jo probelms hain main ap ko detail main bata hun...

    mein din ba din kamzor hota jara hun... feeling very weakness day by day...

    I HAve fear... dil main buhat khof hai.. anajana khof. logon ka khof koi kaam b nahi kar pata hun jo kaam karta hun darta hun... logon se mil nahi pata hun... logon k sath beth nahi pata hun... kahin b jata hun jahan 4, 5 log hun.. ( dost hun, relatives hun, ajnbi hun ) even k 2 hi kiyn na hun main un k sath mil baat nahi kar pata hun... kiyn k main mil pareshan hojata hun... wo aam c baat karein tu b main baat nahi kar pata un k samne... feeling like to cry.... me rone jesa shakal hojati hai un k hansi mazak se


    Disiterest from life.... din b din mera zindagi se maza khatam hota ja raha hai... halan k main jeena chahta hun... main asman k bulandiyon ko choona chahta hun... main kabhi b kaam karne se nahi darta hun... but mera khof mjhy aage bharne nahi de raha....

    mere andar buhat irritation and ghusa agaya hai... jis k koi waja nahi hai... mjhy khud main koi waja nazar nahi ata k main q itna chir chira pana ata ja raha hai aur q main itna ghuse main rahta hun....

    Sever Depression.... main itna depress rahta hun k mera dimagh phatne lagta hai... koi b faisla nahi kar pata hun din raat main depression main rahta hun.... main is se nikalna chahta hun but chah k b nahi nikal pata hun...

    kabhi kabhi mere dil main itni khushi ajata i hai k mjhy lagta hai mjh jesa khush insaan koi b nahi aisa lagta hai ab main bus hamesha aisa rahunga... but khushi sirf kuch pal k liye hi hoti hai again main usi halat main chala jat ahun


    ab pahly se mera dimagh buhat kamzor hogaya hai... pahly mera mind itna fast hota tha k main aik cheez ko aik baar dekhta t ha tu wo mjh se bhoole b nahi bhooltra tha aur ab main chahe jitna b kisi cheez ko dekhun mjhy yaad nahi rahta ...

    MY professional career suffer hota ja raha hai... main pahly buhat kamiyabi main dorta tha... ab mjh se job choot gaya main ghar main ak beth gaya hun... halan k i wanaa do job mjhy kamiyab banana hai... zindagi main buhat aage jana hai... but main nahi ja pa raha hun... kiyn k mere dil main buhat khof hai logon ka... main logon k sath nahi rah pa ra hun

    Blockage in the inflow of money ab main job chor diya tu mere paise ka source b band hogaya...

    bhai yeh sab hai mere sath jis k waja se main buhat depression main chala gaya hun... ab mjhe koi rasta nazar nahi arha hai... Ap tu Allah k bandon k madad karte hain... mjhy is haal se nikalein, main buht tang agaya un apni life se... jis main na koi sukoon hai, bus ik band kamre main sara din para rahta hun.... main kese poori tarah apni life main ajaon... jsi main 100% confidence ho... pahar k tarah mazbooti ho.... bhai khudara mjhy is haal se nikaliye main sari zindagi ap k liye dua karunga... mere andar se wo rone wali shakal niakliye jo kisi k b mazak se rone jesa ban jata hai sab ko lagta hai main bus ro dunga... sa b k samne meri buhat insult hoti hai koi normal baat kare main rone jese shakal hojati hai meri.... khudara mjhy is se nikaliye... mere rone wale shakal ko ik piyari ci muskrahat main badal dejiye jo kisi k b mazak se piyari c smile ae mere hont p na k khof se rone wali shakal ho.... Allah ap ko buhat khush rakhega...


  4. sidra Says:

    aslam o alaiqam
    m 11 sal se shdid bimar hu.m n net pe kala jadu prha mj m tqriben wohe alamat hn m pta krana chati hu k kya mj pe ksi n jadu to ni kraya hua plz mri madad krn m ap ko bt duaen du g.
    shukriya


  5. shaila Says:

    assalamalaikum
    main bahot parshan hun kareeb 4 saal se mere husband ki achanak naukri chali gai jahan jahan dete hain interview woh log bahot khush hote hai phir bhi job nhi milti yahan kisi ko dikhaya to woh bolte hian ke sifli kiya hai kisine.mere sasur ki kidney kaharb ho gai hai k=ghar main aur koi kamane waala bhi nhi hai aur log bolte hain ke sifli baraber ho raha hai continuosly aap bataiye kya akrun main.pls bataiye bahot meherbaani hogi


  6. Anonymous Says:

    hello,
    i am suffering from a major problem. mai kuchh sallon se theek nahi hoon . mujhe raat dar lagta hai. raat ko awazain bhi sunai deti hain . ek bahut gandi see badboo bhi aati hai har samay. and i feel that someone sui(pin ya needle) mere shareer main chubha raha ho. so many doctors and psychiatrist has failed to treet me.and i feel that kisi ne mere dimag mai penchkus sa ghuma diya ho i think that koi mere uper kala jadoo kar hai. mere padhai bhi chhoot gayee. dimag mai dard rahta hai. jeene ki ichha nahi hoti kabhi kabhi to suicide jaise khayal aate hain. man jaise mar gaya ho. bahut paisa kharch ho gaya hai. i am from delhi and my name is poonam. i defenit sure that it is vodoo black magic. if you have guaranteed treetment please send me your address in delhi and phone no. and your fees.


  7. samreen Says:

    Salam
    mera name samreen hai , mein bahot pareshan ho , actualy mein ek larke ko bahot pasand karte ho wo bi mughy pasand karte hain hum kafi arse se sath se wo bahot sharif aur sath dene wala hai us ne har dukh dard mein mera sath diya ha, magar pata nhi usy achanak kiya ho gaya hai wo har chez se bezar ho chuka hai even mere itna rune giirgirane ka bi us pe asar nhi hota hai, plz kuch aisa wazifa bata den ke us ke dil mein mere len muhabbat paeda ho jaye aur wo wapis meri taraf raghib ho jaye plzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz ap ko panjetan ka wasta dety ho plz mein namazo mein bi bahot duon mangte ho har manat man chuky ho plz meri madad karen ,ye ek beti bahen ki faryad hai


  8. Anonymous Says:

    assalamalaikum
    meri pareshan ye hai ke mere bete ki abhi ek saal hi hua hai shaadi ko par uski wife bahot pareshan karti hai usko khwab main nangi aurat aati hai koi kaam bhi nhi karti ghar ka to main yeh jaana chahte hun ke kya koi jaadu hai ya uska nature hi aisa hai.


  9. qamar Says:

    Hazrat me ap ke site par amalyat kai bare me padta rehta hon .ap ke
    malomat se mutaassir ho kar me apne 1 pareshaani rakh raha hon ummed
    hai ke ap jaror mere pareshani hal kar denge mere 1 dost ke bhabhe hai
    unke jab se shadi hoi hai tab sai koi chej hai jo unko tarhe tarhe se
    pareshan kar rahi hai uo cheej jina bhe karti hai aur un ko utha kar
    mandir me le jate aur un ko satati hai hum sab bahut pareshan ho chuke
    plz kuch kijeye .bhabhe


  10. hina Says:

    A.A
    mje ap sy rhnomai lena ti k last 2dhai sal sy hmary ghr ma kuch theek ni horha.wald sahb ko skin alrgi hogai ha js sy onki pori body black c hogai ha ilag b bht kraya bt zyda frk ni ho rha ar bht zyda weak b hogae han.
    Ghr ma ami abu k roz kisi na ksi wjha sy khub lrai jhgra rhata ha..abu roz ami ko divos ki dhmkean dety han .ami 5wkt ki nmazi han ..larai dono trf brabr ki hoti ha...
    Or mje flue ki tkrebn same halt ha jo apny drj ki han.
    2.1sal phly mera rishta mamo k ghr kea ta abu ny onko gali day di.mera b dil ni mana rishta khtm hogea...
    Ab inshallha meri eid pr meri mrzi sy shadi ha..lekin mje apny ghr k in halat sy dr lgta ha k mere bad kya hoga. Plz help me


  11. abdul rahman Says:

    Asalam o allikum...........

    ap ka internet se parha ham log kafi time se kala jado ke shikar bane hoe ha koi kam bi nai hota chahe rishto ka ho chae koi bi dosara ghar me go bi ham kama ke latay han nai pata lagta kider gaya.....

    abi mara bhai ke achanak death ho gai or ak jaga se hisab karwaya to pata laga ke jado ke waja se he hoa asa........ ap hamarai madad karen............ ap ke jawab ka intazar rahe ga....


  12. taufeeq Says:

    meri problem yeh hai ki mujhe job nahi mil rahi hai pichle 3 saal se koshish kar raha hoon kahin bhi nahi milrahi hai kain jagah milne ke asaar nazar arahe hain lekin phir nahi milrahi hai mere dost ne ek bar ek amil ke paas legaye bahot din pehle lekin kuch asar nahi hua woh amil sahab ne thoda pani diya nahane ko kaha aur phir nimbu diya tha apne saaat rakhne ko lekin koi kaam nahi bana ,phir wahi dost ne ek buddi maa lady se milaya jo mere dost ki rishtedar hain woh lady bhi amil hain shayad pata nahi lekin unhone kaha ki tumhare dada pe kiya gaya hai jadu aur unse unke aulad ko satata hai phir unki aulad se unki aulad ki aulad ko satata hai yani mere dada ke potron ko yani mujhe aur iss jadu ka naam narsi kehte hain jo India mein zyada kiya jata hai iss jadu ka log naam lene se bhi darte hain iss jadu ke bare mein maine bhi sunatha sahab kehte hai bahot satata hai kyun mere dada par bhi iss jadu ka asar hai aisa lagta hai mujhe kyun ki unki zindagi mein bhi unhe koi kaamyabi nahi mili hai aur bahot sari baatein hain jo main apko bata nahi sakta mere dada ka naam Mehboob hussain hai toh us lady buddi maa ne mujhe ek saamp (snake) ki ring banane ko kaha phir unhone uspar kuch padkar phuka aur teen threads baand kar diye aur thode gulab ki pattiyan aur loban diya aur kaha ki ammas ke din pani mein gulab ki pattiyan dalkar pani nahake loban ka dhuan leke ring pahen lena aur tuesday tak pahene rakhna phir tuesday ko phir gulab ki pattiyan pani mein daalkar nahana aur loban ka dhuan lena aur nikal dena ring phir 5 tuesdays tak pani nahana aur loban ka dhuan lete rehna aur tuesday ko zohar ki namaz hone tak kuch mat khana aur nahi kuch pena lekin jab mai ek tuesday ko nahaya phir dusre tuesday ko nahaya lekin bhulkar khana kahaliya phir teesre tuesday ko shuru se karo aisa kaha unhone phir shuru kiya aur uss tuesday ko accha kiya lekin phir dusre tuesday ko bhul kar maine khana khaliya toh aap thoda meri madat kijiye aur bataye ki kya mujhpar jadu hai agar nahin toh mujhe job kyun nahi milrahi hai ek aur baat main ek ladki ko bahot chahta hoon mere ghar walon ko pata hai aur ladki ke ghar walon ko bhi pata hai agar mujhe job lagayi toh humari engagement karna hai lekin mujhe job hi nahi mil rahi hai please meri madat kijiye


  13. zaiba Says:

    please mujhey batatayein ki husband wife main seperation kerwaane ke jadu ka kya ilaaj hai... specially jab husband bilkull badal gaya ho aur kuch sunney ko tyaar na ho?? please


  14. aaisha Says:

    assalaam alaikum, ustaadji,

    ramadan mubarak ho,

    main kuch baatein aap se share karna chahti hoon, main ne aaj aap ka site check kiya aur bahut si baatein jadu tona ki hai quran related maloon hui,,,
    hamari family mai kuch ise tarah ka waqiya gujar raha hai , jis se hum sab mutasir hua hai, elaaj bhi chal raha hai, taveej bhi bani hai, lekin phir bhi mujeh aap se kuch discussion karna hai , agar aap ke pass thodha waqt ho , toh main aap ko apne sab halaat batao gi

    allah aap sab ustaadoh ko salaamat rakhey ,,, din ,duniya ,aakhrat mai kamyabi naseeb kare, ameen, s.a.ameen

    aaisha


  15. afsha Says:

    Assalam allaikum,

    main india se hu mere bhaijan ki shaadi me bht waqt lag raha hai,bat
    nahi bam rahi kahi,kya aap bata sakte hai k mujh par or mere bhaijan
    par black magic to kiya hua.or agr aisa hai to kaat kar dijye.
    jawab ka intjar rahega.


  16. Anonymous Says:

    salam amel sahib

    muje ye pochna hay ke taweez ka asar kya ramzan me bhi hota hay mene aik bar kahi para tha ke jo insan ziyada namaze ya quran ki tilawat kare us pe taweez ka asar nhi hota balke wo taweez wapas us insan pe ajatata hay jis ne us pe wo taweez kiya hay our ab ramzan hay to ramzan me to log ziyada ibadat karte hay muje ye pochna hay ke kya taweez ramzan me bhi apna asar karta hay matlab jis pe taweez kiya hay us pe us ka asar karega ramzan me bhi our kya wo taweez wapas us insan pe to nhi ayega jis ne wo taweez kiya hay plz muje jawab zaror dena app ki bari mehrbani hogi ALLAH app ko khosh rakhe AMEEN


  17. adil Says:

    Mohtarim Amil soname sahab, mera naam Adil hay or main pichly 5year say accounting ki parhai ker raha hun CA shuru kia tha per lakh mehnat k bawajood b kamyaabi nahe mili, ab acca ker raha hun per abhi 23 ko result any wala hay pata nahe kia bunega, main bht pareshan hun or walid sahab ny b colg fee dene say inkaar kerdia hay bht mushkil say lar jhagar k pesay nikalwata hun, meri fufi ki beti aqsa say mene shadi say inkaar kia tha or fufi ny kaha tha main dekhungi tu CA kesy banta hay ab, mjhy shak hay usny meri parhai ki bandish kerwa rakhi hay, or walid sahab merey bht khilaaf hogae hain wo sub kuch merey choty bhai k naam kerty jarahay hain, meray pass toota huwa mobile hay jub k usko yeh doosri baar 10000 ka new mobile b leker day dia hay, zindagi kafi tang hay mjh per, kahi baar ghar say bhagny ka b socha per apny carrier ki khatir nahe ja ska, verna main bht tang hun is ghar main,
    Khuda aapko is neki ka ajar dega InshahAllah!!
    Kind Regards,
    Adil


  18. hira Says:

    mera nam hira hai mai islamabad mai hoti hon mujay 2, 3 salo se bohot ghusa aata hai aur parhaye bhe sahi nae kerti ap please agar dekh saktay hain k mujhay koe jado hai ?


  19. Asad Says:

    Somane sb. Assalam-0-alaikum,

    Apnay itni achi maloomat hum tuk pohanchai jis ka main dil se shukarguzar hoon or Allah say dua krta hoon k wo apko Jaza-e-khair ata farmay (Ameen).

    Main Pakistan Lahore say Asad hoon. or may 6-7 saal say kalay ilam ka victim hoon or mujhy 1 saal pehlay pata laga. Main is waqt bhi bohat takleef main hoon. Apnay jo nishanian batai hain kala ilm ki, us say pata lagta hai k mujh per koi kalam ilam karwa rha hay. 4 maheenay pehlay Karachi say ilaj karwaia tha mugar ub dobara kala ilam ka waar ki gya hay. Meri tango or jism main her waqt dard rehta hay. Main shadeed kisam ki maali mushkilat main phansa rehta hoon, paisa to ata hay mugar sub nikal jata hay ultay pultay kamo main.

    Meharbani farma kr koi hal tajveez farma dain, sari umar apko duayin doon ga. Agar apka taaluq pakistan say hay to mulaqaat ka aik moka inayat farma dain. Navazish hogi apki.


  20. Anonymous Says:

    salam... maray walid shahab k bht acha karubar tha hm apni life may bhot khush thay ek dam sab badal gya sara karubar khtm hogya ur hm js ghar ma jtayn hn wahan pani bher jta ha ab un pr bemari agai ha jo mouth cancer ha............. dr nay unko jawab dadya ha .. wo bht hamdrd hn unho nay sri zindagi nayaz nazar ma gurar di ur logo ki hmdrdi ma ur ab unkay pass kuch mhino ka tme ha ur unkay bchay bhot chotay chotay bchay hn plllzzzz app iska hall btyn


  21. Anonymous Says:

    Asslamoalaikum , muje kai salo se ek jinn se presani he, bht ilaaj krvaya, kabhi kabhi pta nhi chalta k jinn he ya kisi ne jaadu krvaya hehe,me abhi hamela hu ,or bht galat or gande khyalat ate he,brae maherbani meri madad kre


  22. Nayyab Says:

    Ap Roz subhan uth k Allah Ka Name liya kre yahi mara Matlb ha k Ap roz subha Namz And Quran Ki Tilawat Kya Kre Inshallah Ap Achi Ho jae gae


Popular Posts