Thursday, May 7, 2026

jadu ki alamat in body

 
As salamu allaiqum 

jesa ka main kahih bar bata chuka ho ka jesa jadu hoga wesa he us ki alamat hoti ha . yani ka jadugar victim k upper jis type ka jadu kareen ga us ka upper uski weshe alamat ai gee . yaha per main comman jo jadu hota ha un jadu ki alamat body main jo hoti ha us ka bare main likh raha ho yaad rahe ka zaroori nahi ha ka ake he victim ka jisam per yeah sare alamateen ho . 

jadu ki alamat in body yeah ha 

1 sir main dard rehna . kabhi adah sir main dard hota ha kabhi poore sir main . kabhi sir main picha se agah ki taraf dard atah ha. 

2 sir main dana nikalna 

3 face per dana nikalna face ka badsourate ho jana 

4 face ka kala ya lal ho jana 

4 ghouse bohat ana . blood pressure high ho jana 

5 dil ka ghabrana or heart beat tezz ho jana 

6 heart main dard rehna 

7 jisam ka bhari ho jana . shoulder bhari zada hota ha is main 

8 din ba din kamzoor hona kamzoori ka barna

9 kamar main dard rehna or kamar ka nicha ka hisa kichna jesa kisi na jakra howa ho 

10 bhook bohat zada lagna . 

11 khana khata waquat khana ka zaika badel jana ajeeb se badbu ana 

12  Gardan ke piche ki ragon (veins) mein sakhti aur khichao mehsoos hona jo massage ya dawa se theek na ho

13 neend nahi ana belkul lait night main ja kar neend ati ha 

14 sote howa jhatka lagna khas kar ghutna ka passs ya nicha pao per

15 hath or pao ka sun ho jana . khas kar hath motorcyle chalata howa zada sun hota ha 

16 baloon ka tazi se safaid hona 

17 nazro ka taze se kamzoor hona 

18 dato main dard hona 

19 jisam per sui chubna 

20 jisam main kharish machna 

21 jisam per nishan ana . jesa ka blue rang k ho ya dark brown rnag ka ho 

22 pet main dard rehna 

23 Gusse ki halat mein pure jism mein larza tari ho jana

24 Bina kisi thand ya dar ke, jism ke kisi ek hisse maslan ek taang ya ankh ka musalsal pharakna ya kanpna.

25 Ghar aate hi tabiyat kharab hona: Jab tak aap bahar hotay hain, tabiyat theek rehti hai, lekin jaise hi ghar mein dakhil hote hain, sar dard, chirchirapan aur be-chaini shuru ho jati hai.

26 Bina kisi bemari ya neend ki kami ke, ankhon ke gird gehre siyah halkay dark circles par jana

27 Raat ko sote waqt paon ke talwon soles mein shadeed jalan mehsoos hona, jaise wahan aag rakhi ho

28 Aisa mehsoos hona ke khaal  ke neeche koi cheez reng  rahi hai ya koi keera chal raha hai.

29 Baaz auqat baat karte karte achanak zaban atak jana ya alfaaz ka galat nikalna, jabke dimagee tor par aap theek hon  yeah namaz parta howa or quran parta howa zada hota ha 

30 Kanon mein musalsal ajeeb si awazein ya saaye ki tarah kisi ki sarsarahat sunayi dena.

31 jisam main dard rehna , joro main dard hona hadio main dard hona 


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha
 
dua main yaad rakhiya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


No comments:

Post a Comment

Popular Posts