Friday, April 17, 2026

kala jadu ka tor kala jadu ki pehchan


As salamu allaiqum. 

jesa ka log jana chata ha ka kala jadu ki pechan kya ha.to main ny kafi dafa batahe ha kala jadu ki pechan . laken apna zindage ka tajarba ki bonyad per bata raha ho ka her jadu ki alag pechan hoti ha. jesa jadu honga us ki wesa he alag pechan hongi laken main yaha per mix kala jadu ki alamateen likh raha ho

kala jadu ki pehchan yeah ha 

  1. Baghair kisi waja ke sar mein bhari pan ya shadeed dard rehna jo dawaon se bhi theek na ho.bazz okat ahsa lagta ha ka jesa sir per bohat wazan par gaya ho 
  2. Kandhon, gardan ya kamar ke nichle hisse mein har waqt wazan mehsoos hona. or bazz okat jab jadu atah ha to yeah akar jata ha jesa kisi na jakra howa hoo
  3. Neend poori honay ke bawajood jism tootna aur susti rehna. yeah zadatar jab insan subah uthta ha to zada asar hota ha 
  4. Aap bimar mehsoos karen lekin doctori test mein koi bimar sabit na ho.bemare ka jadu jab hota ha to test sare clear atah ha 
  5. Har waqt dil ghabrana, achanak dar lagna ya aisa lagna ke koi peecha kar raha hai.ya dil ki darkan ake dam tazz hona . kabhi kabhi dil main dard bhi hota ha 
  6.  Choti si baat par aapa kho dena aur apno se nafrat mehsoos hona. zadatar ghussa main rehna or blood pressure ka high ho jana
  7. Azan, Namaz ya Quran ki tilawat se tabiyat bojhhal hona ya chirchira pan aana.
  8. Dil mein Allah ya Deen ke bare mein bure khayalat ya waswasay aana.khas kar namaz ka doran to bohat atah ha . namaz parta howa bari rokawat hoti ha 
  9. Mian-biwi ya ghar walon mein achanak shadeed nafrat aur larae shuru ho jana.
  10.  Karobar ka achanak thap ho jana ya bante hue kaam aakhri waqt par bigar jana.
  11.  Aisa lagna ke koi pukar raha hai ya ghar mein kisi ki maujoodgi ka ehsas hona.
  12. Baghair kisi waja ke baar baar khate waqt khanay se baal (hair) nikalna
  13. Aisa mehsoos hona ke jism mein har jagah suiyan (needles) chubh rahi hain.
  14. jisam main se garmi nikal na bazz okat hath se nikalti ha bazz okat ahsa mehsos hota ha ka kamar main garmi bhar gahe ha bazz okat poora jisam jal raha hota ha 
  15. Ghar mein achanak ajeeb aur gandi badbu aana zadatar . pishab ki . pakhana ki . gater ki, mare howa janwar ki , kabrustan ki matti ki, ya shamshan ghat ki ya machlio ki ya samander ki 
  16. Khwab mein baar baar kaala saamp, kaala kutta, kaali billi, chuha ya chipkali dekhna.
  17. Khwab mein khud ko baar baar qabristan, kachray ke dher ya veerano mein dekhna.
  18. kabhi kabhi ahsa hota ha ka jisam main achanak sardi bohat lagdi ha jisam kanpta ha or kabhi kabhi garmi lagna lag jati ha 
  19. aksar logo mah note kiya ha ka unko sans ka bara masla rehta ha unko sans rok rok kar ati ha jab strong jadu ho to zada sans ka masla hota ha 
  20. agar jadu sifli ilm kiya ha to jisam per nil ka nishan ai ga or agar jadu jinnat ka kiya ha to jisam per lal rang ka nishan ai ga 
  21. had se zada ghussa ana . yeah jadugar tab karta ha jab jadugar ko victim ka bohat se dushman bnana na ho taka wo apna appa main he na rahe ahsea main victim bohat bare bare major ghaltiya karta ha or phir baad main bohat pachtawa hota ha usko 
  22. Ghar se qeemti cheezon ya paison ka achanak ghayab ho jana 
  23. ankho ka lal ho jana . agar jadugar bemare ka jadu kar raha ha victim per to yeah lal ka bajahe peeli ho jahe gee 
  24. jisam main se badbu ana . ajeeb ajeeb se badbu ati ha zadatar jo ati ha wo gater ki . pishab ki , ya pakhana ki ya sarna ki jesa jadu ataha ha wesi ha smell hongi 
  25. Sir ke baalon ka achanak aur boht tezi se jhadna. kabhi kabhi to main ny note kiya ha ka agar bohat powerfull jadu atah ha to otni jaga he khali ho jati ha bal atah he nahi ha dobara us jaga 
  26. Neend mein achanak jism ko jhatka lagna ya aisa lagna jo main ny note kiya ha is main zadatar pao hilta ha ya shoulder per jhatka atah ha 
  27. Ghar mein rakhe hue naye ya purane kapron ka achanak is tarah kat jana jaise kisi ne qainchi  se kaata ho.kuch cases ai tha mera pass to yeah bhi likh deya ahsa wesa kam he hota ha 
  28. Ghar ki chat ya sahan mein achanak pathar girne ki aawazen aana ya waqai pathar girna jab chat per ja kar deakho to udhar kohi nahi hota
  29. Paka hua khana time se boht pehle kharab ho jana ya us mein se foran badbu aane lagna. ya zahika us ka kharab ho jana 
  30. Azan ki aawaz sun kar chir jana or ghussa ana ya apna app ko door karna taka azan apko sunai na de
  31. dil main ajeeb sa dar hona jesa kuch bura ho jahe ga 
  32. bar bar negative khayal ana apna liya dosaro ka liya .
  33. jadu ke asar se aksar insaan ka chehra achanak kala ya be-ronaq hona shuru ho jata hai.jitna zada jadu hoga otna zada face per asar ai ga . acha yaha per kala jadu ki baat ho rahe ha kala jadu main rang kala honga main ny ake cheez note ki ha agar victim angreez honga yani gora hoga to us ka face lal ho jata ha kala nahi hoga shayaad america ya western countries main kala jadu ki jaga wo log shaitani jadu istemal karta ha qk shaitan ka colour red ha to yeah log ka face bhi red ho jata ha jab in per jadu atah ha 


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha

 
dua main yaad rakhiya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


Tuesday, April 14, 2026

kala jadu ka asar kab tak rehta hai


 As salamu allaiqum 

bohat se log yeah sawal karta ha ka jadu ka asar kab tak rehta ha.. yeah ake acha sawal ha. laken jo sahih amel kamel honga. or jo is field main honga. us se poucha to wohi is ka sahih jaweb den ga. . app kisi bhi movli shaks se poucha ga to wo is ka proper jaweb nahi de pahe ga.  

jadu bohat se kisam ka hota ha or her jadu ki apni ake modat ha 

kuch jadu 7 din tak apna asar deakhata ha yani us ki shidat 7 din hoti ha. phir unka asar dehre dehre kar ka kam hona shoro ho jata ha. 

kuch jadu ka asar 11 din tak rehta ha. 

kuch jadu ahsa hota ha jinn ka asar 21 din tak rehta ha. kuch jadu ka asar 40 din tak rehta ha. 

yeah average jadu ha. yani ka chota mota jadu. 

abb ajata ha khaternak jadu ki taraf jinn ka time period lamba hota ha. 

hamare pyare nabi pak per jadu howa lobaid bin al asim na kiya. yeah poore hadees ha jis ka main zikar kar chuka ho. . abb ulma batata ha is jadu k asraat 6 months tak rahe. kuch ulma kehta ha ka 3 months tak rahe. or app salal laho allai wasalam bemar hogahe . yani ka agar khaternak jadu ka asar hoo to wo 3 se 6 months tak bhi rehta ha .mera to roz ka yahe kaat karna ka kam ha jadugaro na apna app ko bohat upgrade karliya ha. 

agar kisi ka upper jadu ho raha ha or jadugar na uska upper shaitan chordeya ha or us shaitan ki duty lagadi ha ka wakfa wakfa se tum Is per jadu karta raho . to ahsa shaks kabhi bi poora theek nahi hota wo bar bar bemar hota rehta ha us per bar bar bemare ka jadu or attack atah rehta ha. jab tak wo jinnat ka cure na kareen tab tak jaan nahi choti uski.

agar kisi shaks per jadu ho raha ho or kohi paisa de kar karwa raha ho to depend karta ha ka paisa dena wali party kitni tagre ha. or yeah sab kitna lamba la kar chala gee . to amoman third party ka jadugar us shaks ka 1 se 2 saal kharab kardeta ha. 

agar kisi ka upper jadu ho raha ho or us ka picha khod direct jadugar lag gaya ho . ajkal logo ka khandan main jadugar chupa howa hota ha wo belkul be zahir nahi hona deta . ahsa logo ka upper saloon jadu chalta ha kisi per 10 saal se jadu chal raha ha kisi per 20 saal se kisi per 35 saal se q k jadugar khod jadu karta ha or paisa dena ki zaroorate nahi parti to jadu bar bar karta rehta ha to ahsa jaan kabhi bhi nahi chooti . qk jadu continious atah rehta ha .or jadugar khaber bhi rakta ha deakta rehta ha ka mera jadu ki kaisi ha progress. bus wesa he taiyaaari kar kar ka bar bar attack karta rehta ha 

. agar kisi ka upper jadu ho raha ha. or jadugar sifli amel ha yani ghu kha kar or pishab pee kar jadu karta ha or bathroom ka khabees or nalah ka jinn bejhta ha to us shaks ki zindage complete barbad ha . ahsa jadugar ka ilm ka tor karna bohat bohat mushkel hota ha . or ahsa victim bemar rehta ha bohat pareshan rehta ha or sifli ilm ki sahih se kaat bhi nahi ho pati 

Agar kisi ka upper jadu ho raha ha. or jadugar us se jang kar raha ha to phir to wo gaya . q k jadugar kharboo jinn bejhta ha jab jang karta ha to ashe sourate main bohat mar parti ha zindage bachana mushkel ho jati ha ahsa jadugar ka amel mokabla nahi kar sakta . ahsa shaks ko chahiya wo wali Allah se madad lain wohi jadugar ko rook pata ha amel , qari , or yeah jitna bhi healing wala log ha inka bus ki baat nahi ha jadugar se jang karna or us ka kharbo jinnato ko rookna ya unko harana 


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha

 
dua main yaad rakhiya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


Friday, April 10, 2026

khwab mein kala jadu

 

As salamu allaiqum 

wesa to bohat se alamateen ha jo jadu ki khwab main hoti ha laen kuch jo khas ha wo likh raha ho jadugar jab kisi per jadu karta ha to us ko yeah sab nazar atah ha khab main zaroori nahi ha ka sare alamateen nazar ai khab main jesa jadu jadugar kareen ga wesa he alamat zahir hogi insan per 

to yeah ha alamateen jo khab main zahir hoti ha 

1. Khwab mein bar bar pakhana , peshab , ya khud ko bathroom mein dekhna. Apne jism ya kapron par poti pishab laga dekhna jadu ki wazeh alamat hai.
2. Khwab mein kale saanp, bichu, chipkali, kutte, ya billi ka piche parna ya katna dekhna.
3. Bulandi se Girna Bar bar yeh dekhna ke aap kisi oonchi jagah ya pahar se neeche gir rahe hain. Ya building se gir rahe ha
4. Khwab mein aksar qabrastan, purani imaraten, ya sunsan dravni jaghen dekhna jahan koi maujood na ho.ya sehra deakna ya medan deakna
5. Khwab mein khoon dekhna, ya bar bar faut shuda afraad ko dekhna.
6. Kisi raste par chalte hue raste ka band ho jana ya manzil tak na pahonch pana. Ya tooti howi sarak deakna . ya raata main pair gira howa deakna . ya sarak main gada deakna
7.   Khwab main larka larki ko naga deakna unko sex karwa howa deakna
8.    Bar bar apne purane ghar, bachpan ke school, ya aisi jaghon ko dekhna jahan aap bachpan mein rehte thay.
9.   Khwab mein bar bar khud ko imtihan dete dekhna aurpaper hal na kar pana ya waqt khatam ho jana.
10.         Khwab mein khud ko bilkul andheri jagah ya kisi  purani imarat mein tanha dekhna.
11.         Dant Girna Khwab mein danton ka girna ya tootna bhi baaz auqat jadu ke asrat se jora jata hai.
12.          Khwab mein bar bar ghost ya koi aisi cheez khate dekhna jo apko haqiqat mein pasand na ho, ya kisi anjan shakhs ke hath se khana khana.
13.         Khud ko kisi kamray mein band dekhna ya zanjeeron mein jakhra hua mehsoos karna.
14.         Gandi naliyan, kachray ke dhair, ya galeez jaghon par khud ko khara dekhna.
15.         Kale parinday , chipkali, ya makri ya kali chonti , ka jism par charhna
16.         Khwab mein kisi ki awaz sunna jo aap ka naam le kar pukar raha ho, lekin pukarane wala nazar na aaye.
17.          Khwab mein munh se baal , suiyan , kile , ya kale rang ka mada  nikalte dekhna jadu ki sakht alamat hai.
18.          Musalsal ye dekhna ke aap kisi raste par ja rahe hain lekin rasta band hai ya aap bar bar bhatak kar wahi wapis aa rahe hain jahan se shuru kiya tha.
19.         Kale kawway , chamgadar , makri ka jala , ya bahut zyada keeray makoray apne jism par dekhna.
20.         Khwab mein shaadi ki tayari dekhna lekin ain mauqa par shaadi ka toot jana ya dulha/dulhan ka ghayab ho jana.
21.         Khwab mein ganda pani (dirty water) dekhna ya khud ko aag ke sholon ke darmiyan phansa hua mehsoos karna.Baal  aur Suia'n  Khwab mein apne munh se lambe baal nikalte dekhna ya jism mein suia'n chubhti hui mehsoos karna jadu ki sakht alamat mani hai.
22.         Ghosht Khwab mein kacha ya kharab ghosht dekhna, ya khwab mein khud ko ghosht khate dekhna
23.          Khwab mein kisi kale libas wale shakhs ko dekhna jo apna chehra chupa raha ho ya aap ko dara raha ho.
24.         Bar bar ye dekhna ke aap gande pani ya daldal  mein doob rahe hain aur koi nikalne wala nahi hai.ya apna app ko samander main ya talab main deakna
25. Aise logon ko dekhna jin ke chehre janwaron jaise hon.
26.  Khwab mein gair-Islami ibadat gahon, shaitan ka budh, ya jadu toney ki ashya ka bar bar nazar aana.
27.  Khwab mein mehsoos karna ke aap kisi se bachne ke liye musalsal bhag rahe hain aur thak chuke hain, lekin peecha karne wala khatam nahi ho raha.


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha
 
dua main yaad rakhiya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


Monday, March 23, 2026

kala jadu depression ka ilaj

As salamu alaiqum

Bohat sare log jadugar ka pass ja kar depression ka jadu karadeta ha. yeah itna khaternak jadu ha ka insan ko is ki belkul bhi samajh nahi lagti. or dehre dehre kar ka victim ka sab kuch barbad ho jata ha . victim ko belkul bhi andaza nahi hota  . jadugar victim ka mind ko target karta ha or hert ko bhi target karta ha taka depression ko incraese kar sakeen victim ka . is ko increase karna main jadugar victim ka her kam ko block karta h.a ya ulta karta ha . us ka kohi bhi kam theek se nahi hota . or victim ka zehen main or dil main yahe baat apni spirits ka zarya se dalwata ha ka tum nakara ho . tum nikama ho tum kuch nahi kar sakta . or victim ka demage main negative khaylaaat or mayusi ka khayalaat her waquat dalta ha

Is main jo major symptoms  atah ha wo yeah ha

1 mayusi bohat hoti ha insan her cheez se mayus ho jata ha

2 victim ka kohi bhi kam nahi banta

3 dil kamzoor ho jata ha or darakta tezz tezz ha

4 insan chirta ha apna app se apni zindage se or apna app se bateen karta ha apna app se sawal karta ha

5 jeena ki tamana khatam ho jati ha insan bar bar yahe kehta ha ka yeah zindage bekar ha sab kuch bekar ha kohi faida nahi wegara wegara

6 agar deression ka jadu serious ho to insan phir khudkashi ka attamp karta ha kahih kahih bar

7 deression main ghussa or larahe jagra zada karta ha victim .

8 depression ka victim akela rehna passand karta ha us ko kisi se milna jhulna passand nahi hota

9 agar female victim ha to us ka bar bar rona ko dil chata ha

10 choti choti batoon per bohat jaldy dhuki ho jana

11 depression ka victim ki neend bari kharab rehti ha wo chain se nahi sota us ka zehen main sota waquat bhi mayusi ka khaylaat atah rehta ha

12 depresison ka mareez apna app ko her time kosta rehta ha

13 agar depression ka  jadu bohat zada ho jahe to insan suicide ka bare main her time sochta rehta ha or us ka bare main bateen karta rehta ha

14 victim  bazz okat mental herkateen karta ha or ajeeb react karta ha or ajeeb bateen karta ha

15 deression ka victim jaldy haar man layta ha dunia se . us ka dunia passand nahi hoti or wo dunia se door bhagta ha dunia main kamana nahi chata phir

16 insan bara sensitive ho jata ha. kuch bhi kaho to foron bura maan jata ha or ajeeb sa behave karta ha

Is ka ilaj yeah ha

Her namaz k baad  surah raad chapter no 13 ki 28 we aiyat ko 100 bar pareen

اَلَّذِیْنَ اٰمَنُوْا وَ تَطْمَىٕنُّ قُلُوْبُهُمْ بِذِكْرِ اللّٰهِؕ-اَلَا بِذِكْرِ اللّٰهِ تَطْمَىٕنُّ الْقُلُوْبُﭤ(28)

Or

surah al fath surah 48 verse no 4 si aiyat ko bhi her namaz k baad 100 bar pareen

هُوَ الَّذِي أَنْزَلَ السَّكِينَةَ فِي قُلُوبِ الْمُؤْمِنِينَ لِيَزْدَادُوا إِيمَانًا مَعَ إِيمَانِهِمْ ۗ وَلِلَّهِ جُنُودُ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ ۚ وَكَانَ اللَّهُ عَلِيمًا حَكِيمًا 

وہی ہے جس نے مومنوں کے دلوں میں تسکین نازل فرمائی تاکہ ان کے ایمان پر مزید ایمان کا اضافہ ہو (یعنی علم الیقین، عین الیقین میں بدل جائے)، اور آسمانوں اور زمین کے سارے لشکر اﷲ ہی کے لئے ہیں، اور اﷲ خوب جاننے والا، بڑی حکمت والا ہے

 inshallah 7 din tak parna se he kafi faida honga is ko 40 days tak parta rahe taka sara depression ka jadu clear ho jahe  


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha
 
dua main yaad rakhiya ga 
amel soname
amel_soname@yahoo.com


Popular Posts