Amel Soname Contact

agar kisi ko hum se contact karna ha to wo email ka zarya hum se contact kareen . dhoka bazoo se hoshyaar rahe jo amel soname naam ki jaise email,website, ya social media websites per id ya telephone number dal kar logo ko dhoka de rahe ha or apna app ko amel soname naam ka bohat bara Amel ya jadugar bata kar logo se paisa lay rahe ha . hamara ahsa logo se koi talooq nahi ha or na he hamara ahsa logo se kohi talooq ha jo amel soname naam se astana ya office khul ka betha ha . hamare kohi telephone support nahi ha. hamare sirf email support ha .is email k ilawa hamare kohi dosare email support nahi ha .email yeah ha amel_soname@yahoo.com

hamara is website www.amelsoname.com se kohi talooq nahi ha yeah hamare nahi ha or na he hum se munsalik ha

KALA JADU KI TYPES OR KON KON SE HOTA HAI

Labels: , , , , , , , , ,  

as salamu allaiqum 

main apko batata ho ka kala jadu ki iqsam kya kya hoti ha . or is ki types ka bare main be batao ga ka kon kon se hota hai
aj ka jaded door main log kaun kaun se jadu karwata ha  sifli amil ya jadugar ka pass ja kar  mare koshes yahe ha ka poore detail main acha se samjhao

jo log be ilm janta ha is duniya main wo her kisam ka kam kar sakta ha ilm janay waloon se murad jadugar or rohani aamil , laken us ka liya yeah shart lazmi ha ka unko ilm atah be ho  bharpoor andaz main  abb yeah hazraat insan ko mout se bachana main or mare howa ko zindage karna ka ilawa duniya main bohat se kam kar sakta ha ..
abb main apko yaha per mojooda door main hona wala jadu ka bare main batao ga k kaun kaun se hota ha

1) miya or bewi ka darmayan larahe jagre = yeah jadugar ka favourate jadu ha is ko to wo koshes se karta ha or jinnat be khob jadugar ki baat ko mante ha or tabah lata ha ahsa jadu ko karna ka liya . jadugar miya bewi main khoob larahe karwata ha jinnat ka zarya se . or is main jadugar ki jeet us time per hoti ha jab miya bewi choti choti batoon ka issue banata ha or khoob behas karta ha . larahe zada us waqat barti ha jab miya bewi ake dosare se behas  karta ha . phir yeah larahe kuch time tak chalti ha or jadugar apna jinnato ka zarya talaq tak ka mind banwata ha victim ka or bazz okat ho be jati ha
2)bewi ya shohar main se kisi ake ki sourate ko deak kar ghussa ana  = is kisam ka jadu main dono main se kohii ake party ya to bewi ya to shohar jab deakna ha to ghussa atah ha . bazz okat mard jab bewi ko deakta ha to us ko apni bewi ki shakel deak kar ghussa atah or bazz okat ahsa hota ha ka bewi jab apna shohar ko deakti ha to us ko bohat ghussa atah ha . yeah ahsa jadu ha jis se nafrate under dal de jati ha taka ake dosare ki sourate ko deakha to or ghussa kareen miya bewi or jaldy divorce ki taraf jahe
3) sir main darad rehna = jado se kisi be shaks ka sir main dard kar deya jata hai .chahe lakh davahe khalay laken phir be sir darad nahi jata. sir main darad rehta hai kabe ake dam sir main tease uthte hai to kabe ake dam khatam ho jate hai .
4) galah ka kharab hona  = is kisam ka jado main acha bala shaks ka gala kharab ho jata hai. galay se awaz he nahi nikal pate theek see .or ahsa mehsos hota hai ka galay main kohi kharash hai or yeah kharash dave se be door nahi hote .
5) sans ka mushkel se ana = jado sifly se is kisam ka jado kiya jata hai ka acha bala insan ko sans theek se nahi ate .wo ghooton mehsos karta hai sans lena main .or pareshan rehta hai .kabe us ka sena per zoor perta hai. to kabe dil per .or ahsa shaks per gabrahate or bechani tare rehtee hai .
6) behra karna = jado elim main kisi be insan ko bera kar deya jata hai us ka suna ki taquat ko khatam kardeya jata hai ahsa insan ka kano main darad rehta hai or tease be uthte hai
7) orate ka khone jare karna = is jado main orate ka khone jare kar deya jata hai or wo bohat shahded takleef main ah jate hai ahse orate apna shoher se sobat nahi kar pati or ager sobat kar be lay to intahahe shaded takleef main ah jate hai or bemar par jate hai bohat zada
8) jisam main darad = is kisam ka jado main pore jisam main darad rehta hai yeah darad kabe dono tange main zada hota hai to kabe hatho or kamer main hota hai phir sir tak pouchta hai or ajeeb se thakan ho jate hai insan samjhta hai ka kamzoore ho gahe hai ya ajj zada mehnat ki thi to is waja se darad ho raha hai
9) anda karna = jadogar kisi be insan ko anda kar deta hai apna jado se us shaks ki benahe chalay jate hai shoro main nazre kamzoor ho jate hai phir ahista ahista us shaks ki benahe chalay jate hai
10) dato main darad masoro ki bemare or dato main kira lagana = bazz okat jadogar dato ka picha lag jata hai kio ka insan ki lambi omar ka daro madar dato per hai jab daat he theek nahi rahe gay to phir insan ki sehat kharab ho gee or wo kamzoor or bemar rahe ga jadogar dato per kira or masoro per waram or dato main darad ka jado kar deta hai
11) dil ki darkan tazz karna = jadogar apna jado se dil ki darkan tazz kar deta hai or dil bohat tazz tazz darakta hai insan ka samjh nahi ata wo samjhta hai ka dil ki kohi bemare hai ya phir samjhta hai ka blood preasure high hai
12) bokhar rehna = jado sifly main akser bokhar rehta hai jado ka deya howa bokhar main sab se khater nak bokhar typhoid hai jis ka elajh main ager dair lag jahe to banda bohat saket bemar ho jata hai or bohat kamzoor ho jata hai jesa ka 6 month ka nooksan howa ho jisam ka
13) chacker ana ka jado = jado main ake chaker ana ka jado be hota hai ankho ka aga ake dam andera ah jata hai us per chacker ana shoro ho jata hai
14) yadasht ka khojana = is kisam ka jado main log apni yaad dasht khodeta hai or betha betha sab kuch bhool jata hai or akser log to apna bacho ko be nahi pachan pate or un ka demage kam he nahi karta
15) demage ka theek tareka se kam nahi karna = is kisam ka jado main demage theek tareka se kam nahi karta or insan kar kya raha hota hai or ho kuch raha hota hai office wala logo ko bare pareshani hote hai is kisam ka jado ki waja se ahsa shaks apni cheeze kisi be jaga rakh kar bhool jata hai or bar bar doond ta hai
16) kisi be kam main dil nahi lagna = jado main akser logo per is kisam ka jado be karaya jata hai yeah zada tar job karna wala log per or bacho per kiya jata hai taka wo sust pare rahe
18) awara banana = is qisam ka jadu  main kisi be mah baap ka pale palahe bacha ko awara banaya jata hai taka us mah baap ka bacha awara bana or bacha ka mah baap pareshan ho
19) charus segrate ki adat lagana =kala jado sifly main log jadogaro ka pass ja kar ahsa jado karvate hai jis per karvana ho ka us ko charus ki adat lag jahe kio ka yeah is liya karvate hai ka ager ake dafa victum is patre per char jahe to wapious ana ka sawal he peda nahi hota or ager zeenda be rahe wo shaks to us ki zeendage bekar he hote hai
20) sharab ki adat lagwana = jadogar kisi be shaks ko sharab ki adat per laga deta hai taka wo ghar main larahe jagra kareen or ghar ka amon kharab ho
21) zani bana na = jado sifly main bazz log mah baap ki betio ko zani banwate hai laken is main orate ka kohi kasoor nahi hota yeah sab jado ki waja se hota hai or ager marad ko zani banaya jahe to us ka picha kisi orate ka hath hota hai taka wo marad us orate ka sath sex kareen or us orate ki jinse khuwahish pore ho or marad be orate per ishe kisam ka jado karvate hai
22 )quran pak allah or rasool se nafrate dal na dil main = yeah jado us waquat karte hai jab ka jadogar ko dar ho ka us ka jado allah ka zikar , quran pak ki telwat or rasool pak ka daradood se toor na jahe is liya jadogar in cheezo se insan ko door karta hai taka jadogar ko bar bar mehnat na karni pare
23) khuweb band karna = is jado main insan raat ko sota hai laken us ko neend theek se nahi ate us ka zehan chalta rehta hai or us ko khoweb nahi ate or wo bachain or pareshan he rehta hai kabe is karvat to kabe us karvat bedelta hai laken us ko chain nahi milta
24) randi bana na orate ko = is jado main kisi be orate ko randi bana deya jata hai or orate ka under se besharmi khatam ho jate hai or wo bare bare galay wala kapre pehante hai or apni sharam gah mardo ko dekhate hai taka mard khush ho or us ka sath bora kam kareen ahse orate ki sex power jado ka zarya bara de jate hai
25) pet or meda main darad rehna = jado main akser logo ka pet or meda main darad rehta hai or un ko ishe cheez ki bemare rehte hai kabe ake dam matli hote hai to kabe bohat tazz bhook lagna shoro ho jate hai jab khana khana betho to do tin newalo main pet bar jata hai or bhook khatam ho jate hai kabe pet main saket dara hota hai or insan kacha pakhana karta hai
26) sena main jalan rehna = jado main ake is tarah ka jado be hota hai jis se sena main bare tazz jalon hote hai or mu main okahe ah jate hai ahsa lagta hai ka kohi bohat tazz lal mircho wala shorba khaya ho or us se jalan ho rahe hai
27) jigar kharab karna = kio ka insan ki sehat ka daro mardat jigar per mun hasir hai jadogar jigar per attack karta hai jab jigar kharab ho jata hai to insan ka jisam main khone nahi banta or phir insan ka khana pena band ho jata hai or wo tarah tarah ki bemareya paker leta hai
28) shoher ki shakel bewi ko kuta ya khinzeer jase nazar ana = is jado main jab shoher bewi ka pass ata hai to bewi ko shoher ki shakel khanzeer ya kuta jase nazar ate hai or bewi chikna chilana or shor machana shoro ka kardate hai
29) marad ko na marad bana = ahsa jado main marad bekar ho jata hai wo humbistare nahi kar sakta marad ka azu karahona ka kabel he nahi rehta or wo tamam elajh ka bawajood be theek nahi hota
30) putlo ka zarya kiya gahe jado = is jado main ake putla banaya jata hai jo orate ki guzar gah per dafan kiya jata hai is jado se us orate ka han larkia he larkia peda hote hai or kabe be larka peda nahi hota mah baap beta ki ass main intazar he karta rehta hai
31) bacho ka sookh kar mar jana =is kisam ka sehar main bacha saket bemar ho jata hai din ba din kamzoor ho jata hai elajh ka bawajood theek nahi hota jis ko log um alsobyan ya sokha ki bemare boolte hai
32) orato ka bacho ko pet main marna
yeah sehar janwaro or maho per kiya jata hai is sehar se orate ka pet main he us ka bacha mar jata hai or phir mah ki zeendage ko shahded khatara lahaq hota hai
33) janwaro per jado karna un ko bemar karna =
is tarah ka sehar jado main logo ka janwaro ko bemar kardeya jata hai in ka mawashe bemar rehta hai
34) janwaro ka dood sokh na or bemar rehna
is jado main janweryani bair bakre , gahe behas ka dood khushak ho jata hai or ager pet main bacha ho to wo mar jata hai pet main he or peda hota hai to mara howa is janwer ka ager kohi bacha dood pelay to wo shahded bemar ho jata hai or ahista ahista mout ka mu main ah jata hai
35) admi orate se nafrate kareen = is jado main admi apni bewi se nafrate karna lagta hai us ka dil main bewi ka liya nafrate se ho jate hai or her waquat apni bewi ko apna dushman samjhta hai ager kohi is ko samjha to wo us ko be apna dushman samjh ta hai
36) larkio ka rishta ana band hona = is jado main larkio ka rishta ana band ho jata hai larkia apna ghar main he bethi rehta hai rishto ka intazar main baat ban be jate hai sab kuch ho jata hai laken akhir main rishta mana ho jata hai
37) joro ka darad = is jado main insan ka joro main darad kar deya jata hai or wo chalna phirna ka kabil nahi rehta kabe to yeah darad bohat shaded hota hai or kabe kam
38) jinsi bandish karna orate ki = is jado main orate ki jinsi bandish karde jate hai orate sobat karna se nafrate karte hai kisi se be us ka dil nahi karta sex karna ko sex se orate ko nafrate se ho jate hai
39) chera begar na = is jado se orate ka chera begar deya jata hai or jo be is orate ko deakta hai wo is ko chorail , dayan najana kon kon se khetab se nawazta hai
40) coke band na orate ki = is jado main orate ki coke band de jate hai orate ko bacha nahi hota elajh or medical main sab theek hote hai reports laken phir be bacha nahi hota
41) rizq ki bandish karna = is jado bandish se mali lehaz se tabah ho jata hai ahe din nook sanat ka samna karna perta hia bela kisi jahis waja ka hota hai new new mosibateen an partee hai
42) ghar ko tabah wa barbad karna = is jado main kisi acha bala ghar ko ojar deya jata hai or weran kardeya jata hai her farad 1 dosare ka jani dushman ban jata hai
43) la elajh maraz dalna = is jado main orate ka marad ko la ealjh maraz dala jate hai or un ko tarpa tarpa kar mara jata hai shahde takeleef de jate hai
44) zalil karna orate ko shoher ki nazro main = is jado main orate ko nicha kiya jata hai or shoher ka dil wa demage main be yahe baat ghoomte rehte hai
45)
marad ka dil main shak dalna apni bewi ka liya = jado sifly main ahsa jado marad per kiya jata hai jis se marad apni bewi per zara zara se baat per shak karta hai or us ka dil main weham ah jata hai apni bewi ka liya
46)
molazim ko nookre se nikal wana ya ohda gerana = is jado main kisi be molazim afser ya ohde dar ki is ka ohde se montazeli karvade jate hai is ko ohde se motel kara deya jata hai or jis jaga yeah shaks kam karta hai waha ka logo se ahe din larahe jagra rehta hai
47)orate ko talak del wana =bazarya jado se orate ko apna shoher se talak dil wade jate hai is ka her nikha ka baad mosal sal talaq ka sil sila jare rehta hai or wo orate kisi be marad ka sath kush nahi rehtee
48) ameer admi ko bekare bana na = is jado main ameer logo ko bekare bana deya jata hai un ka sab kuch tabah ho jata hai or wow fakir wa kangal ho jate hai
49) mulk se jala waton karna = is jado main kisi be shaks ko jala waton kar deya jata hai ya phir wo ake shehar se dosare shehar mara mara ghoomta phirta hai
50) shahde ghosa dalna dil wa demage main = is kisam ka jado main insan per shahded ghosa tare rehta hai or wo apna ape se bahar rehta hai or her kisi se larna jagar na ko taiyaar rehta hai us ka yeah man na hota hai ya to tu rahe ga ya to main raho ga
51) orate ki pastan main darad karna = is jado se orate ki pastan main darad kar deya jata hai chate dhookte rehtee hai orate ki or us main takeef rehte hai
52) okdam zikar = is kisam ka jado zada tar us shaks per kiya jata hai jin ka ghar rishta la kar ja rahe ho us shaks ka ghar walay phir rishta walo ka apna ghar main zikar karte rehta hai or unhe ki bateen hotee rehtee hai ghar main un ka jana ka baad be mahino tak yeah sil sila jare rehta hai
53) mohobat main devana karna = is kisam ka jado zada tar orate apna shoher per karte hai orate apna ganda pani per amal karva kar marad ko pela date hai marad orate ka kabo main ah jata hai or kuta ki tarah orate ka picha picha ghoomta hai or marad be apna ganda pani le kar us per amal karva kar kisi be larki ya orate jis se us ka sobat karna ko dil chahe us ko pela deta hai phir orate marad ka kabo main ah jate hai abb yeah marad per depend karta hai ka wo us ka sath kya kareen ahse sorate hall main orate nedal hote hai or sab kuch marad per hota hai ka wo us ka sath kya kay kareen
54) dar anjana khuf dal na dil main = is jado main insan ka dil main dar khuf dal deya jata hai sab kuch hona ka bawajood wo mayous or na kush hota hai us ka kuch be samjh nahi ata bus us ka dil her waquat derta rehta hai
55) sehar khamol = is jado main insan sust per jata hai us ka kohi be kam karna ko dil nahi karta wo dehla or lachar ho jata hai
56) murge ka dore = morge 2 kisam ki hote hai ake badni dosare jado ki waja se sehar jado main insan per is kisam ka amal karaya jata hai taka us ko murge ka dore pareen
57) sehar laqwa = is jado main chare ki halat begar jate hai or mu tera ho jata hai elajh ka baad be mareez dandrust nahi rehta khana or pena se mareez bezar ah kar tange ho jata hai or awaz be beth jate hai
58) sehar al mafloj = is sehar se morad ha ka insan ka kuch aza ya sara jisam ba has reh jata hai or in main khone ka dora khatam ho jata hai or ahsa mareez ko falak kaha jata hai
59) sehar kabos = is sehar kisam main shaks ko akser wa bashter bohat zada neend ate hai or neend main bare shakel ka insan ya daraoni shakel wali ajeeb mooklook deakhahe date hai
60) shahded chaker ana ankho ka aga andera cha jana = is sehar main begar kisi bemare ka sir main tese uth te hai or yakdam sir main shahded chaker ate hai or ankho ka agay andera cha jata hai
61) jado bandish nikah = nikah ki bandish main ahsa jado kiya jata hai jo end nikha ka waquat hota hai is se ya to dulan ka demage kharab ho jata hai or wo mana kardate hai nikha karna ko ya phir dulah ka demage kharab ho jata hai ya wo mana kar deta hai nikah karna ko ya phir kohi ahse pareshani ah jate hai jis se nikha motel ho jata hai
62) surat anzal = is jado main marad ko surat anzal ki shekayat lahaq ho jate hai or bawajood elajh ka wo theek nahi hota
63) bandish has = bazz okat haseed orate kisi haseed jadogar se has ka jado karvadate hai jis se orate ka mahowar ana band ho jate hai
64) sehar janon sehar janon se morad wo sehar jado hai jis se insan apna hosh wa hawas kho beth ta hai or amoman llog is ko pagal kehta hai or wo kisi ka kabo main nahi ata or ahse afrad is ko zangero main band kar rakhta hai ahsa shaks bare mushkel main kabo ata hai
65) masan = masan wo jado hai jo bacho per kiya jata hai is main hindowana tareka se taiyaar karda mordo ki rakh kisi na kisi sha main rakh kar khila de jate hai

mujha jitni be kisam ka jado maloom tha wo mana likh deya hai


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com



Tags: type of black magic,types of kala jadu,types of kala jadoo,how many types of kala jadu,types of jadu,how many types of jadu,types of jadu tona,types of sihir,different types of sihr,silfli ilm ki types 

kala jadu ka tor mp3

Labels: , , , , ,  

As salamu allaiqum

her jadu chahe wo  kala ho  ya nila ho ya sifli ho ya bangal ka ho ya mela ho ya paledi ho ya bangali ho or dosare kisam ka jadu ho in ka tor karna
ka taeeqa alag alag hota ha agah main apko mp3 ki recording se jadu ka ilaj batao ga . matlab ka her jadu ki kaat alag tareeqa se ki jati ha laken bohat se jadu ki kaat aram se be ho jati ha . main kuch quran pak ki aiyatoon ko mp3 format main post kar raha ho is se kafi madad milti ha jadu ki kaat karna main . agar kisi be victim ko fiada nahi hota or us ki tabiyat zada kharab hoti ha to phir wo kisi acha real aamil ko hire karleen apni kaat karwana ka liya q k bazz okat khod se kaat karna mushkel hoti ha or jinnat khod se kaat karna main bare rokawateen or pareshaniya dalta ha or tarha tarha ki musebateen kharee karta ha victim ka liya . bar bar zehen main waswasa dalta ha aiyatoon ka hawala se jadu ki kaat ka hawala se . to ahse sourate main aamil se madad lena kafi faida mand rehta ha or aamil in cheezo se bakhobi larna janta ha q k us ki yeah field ha . is filed main agar kisi aamil ko hire karna ho to powerfull amil hona chahiya or complete knodlageable banda ho jis ko her kisam ka jadu ki maloomat ho or wo is ka tor janta ho

bar hall yaha per main kuch aiyateen post kar raha ho jo apna download karni ha or din main 3 bar sunni ha bawazu halath main

ruqyah sharia se sirf jadu ka tor nahi hota belka jinnato ka tor be hota ha is main depend karta ha ka jinnat ake waquat main kitna hamla kar rahe ha victim ka upper to otna he time lagta ha is ka ilaj main

abdul rahman al sudais ruqha sharia

Download in mp3 click here 

Ruqyah by saud ash shriam

download in mp3 click here 






Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com



hadees kala jadu

Labels: , , , , , , , , ,  

As salamu allaiqum

jadu tona ka bare main yeah hadeese ha  . or be agar kisi ko is ka ilawa hadees maloom ho kala jadu ka hawala se  to wo hamain batahe hum yaha per post karden ga logo ki maloomat k liya 

hazrate aisha ny farmya .  Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per jadu ker dya gya tha or is ka Ap per ye aser hoa tha ke Aap ko khayal hota ke Aap ne Azwaj-e-Motharaat mein se kisi ke sath ham-bistri ki ha halanke Aap ne ki nhi hoti. Sufyan Sori ne byan kiya ke jaadu ki ye sab se sakht qisam ha jab is ka ye asar ho, phir Aap ne farmaya Ayesha! Tumhien maloom he Allah se jo baat Mein ne poochi thi us ka jawab Allah ne kab ka de dya ha. Mery pas do Farishty aye aik Mery Sar ke pas khara hogya aur dosra Mery Paun ke pas. Jo Farishta Mery Sar ke pas khara tha usne dosry se kaha in Sahab (Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ka kya haal ha? Dosry ne jawab diya ke In per jaadu ker dya gya ha. Poocha kis ne In per Jaadu kya ha? Jawab diya ke Labeed bin Aa’sam ne, ye yahudiun ke haleef Bin Zareeq ka aik shaks tha aur munafiq tha. Sawal kiya ke kis cheez mein in per jaadu kya ha? Jawab diya ke kanghy aur baal mein. Poocha jaadu ha kahan? Jawab diya ke nar khajoor ke khoshy mein jo zarwan ke kunhein ke andar rakhy huy pathar ke neechy dafan ha. Bayan kiya ke phir Aap is kunhein per tashreef le gye aur jaadu andar se nikala. Aap ne farmaya ke yhi wo kunhan ha jo Mujy khawab mein dikhaya gya tha is ka pani mehndi ke arq jaisa rangeen tha aur uske khajoor ke darakhtun ke sar shetanun ke sirun jaisy thy. Bayan kiya ke phir wo jaadu kunhein mein se nikala gya. Hazrat Ayesha ne byan kya ke mein ne kaha ke Aap ne is jaadu ka tor kyun ni karwaya. Aap ne farmaya Allah ne Mujhy Shifa di ab mein logun mein aik shor hona pasand nhi krta. [5765: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]

ake or hadess main ha

halaak kardena walay gonaho se bacho Allah ka sath shareek na tharao or jadu se
sahih bukhari 1


ake or hadees main ha

teen tarha ka log jannat main dakhel nahi honga , sharab peena wala , katah rehmi karna wala . jadu gare ki tasdeek karna wala matlab us per yaqeen karna wala (matlab jadugar ya khod jadu karna ya karwana wala )



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com



kala jadu ki nishaniyan aur alamat

Labels: , , , , , ,  

As salamu allaiqum 

jadu ki pehchan karna k liya yaha per main ny bohat se alamat batahe ha taka app log is ko par ke samajh sakeen or is ki nishaniyan jo ha wo janay.
  • kabe badbu ka ana or kabe ake dam kushboo ka ana . badbu zada tar sungahe deti ha kushboo bohat kam songahe deti ha . zadatar gater ya gandey nalay ki badbu songahe deti ha
  • jisam main kira ka kaatna ya kabe ake dam se ahsa feel howa ho ka kisi ny dang mara ya ha kisi ny kata ha
  • apna jisam main se badbu ana , or pasina main be ajeeb se badbu songahe dena .
  • tabiyat main bechani rehna aram nahi ana
  • jisam main hidad mehsos karna or jab tharma meter per check karo to kuch be nahi atah normal hota ha sab
  • ankho main se pani nikalna ankho ka bar bar par parana khas kar ka ulti ankh is main bohat par parati ha
  • kam main dil nahi lagna . kam main dil ka ochat hona . or kam se bhagna or jaan chorana ka maan karta ha
  • apna app se nafrate karna apna upper ghussa karna or apna app ko kabe insan kossta  be ha
  • bila waja ghussa ana . bela waja logo se ya ghar waloon se behas karna ya larna ya unko bateen suna na
  • sote howa darna ya akela main dar mehsoso karna
  • jisam main dard hona jisam main thakwat mehsoos karna or jisam ko kamzoor mehsoos karna 
  • pishab main qatre tapak na . yeah khas kar us time zada hota ha jab insan wazu kar ka namaz parna kharta hota ha to foron he pishab ka qatara ajata ha 

·         mu per sujan mehsos karna ya ake gaal suja howa mehsoos karna 

·         bar bar pet ka kharab hona or dastoo ka bar bar ana . bazz okat pani ki tarha dastoo ka ana or goli ka be asar nahi karna

·         dosaro ki tareeqa se hasad karna or jalna or under he under dosaro se nafrate karna

·          pakhana aksar kala rang ka ana .

·         pet ka phull jana or tight rehna pet ka

·         dil main dard mehsos hona dil main main ajeeb se bojh mehsos karna

·         bila waja pareshan hona or fikar mand hona or depress rehna

·         aksar okai ana or ulti jaisa kafiyat paida hona or kabe kabar ulti ka be ana

·         wazan ka kam hona or din ba din sukhta jana

·         jisam main dard ka sath kapkape mehsos karna or aksar tango ka or hatho ka kapna or jisam ka vibrate karna

·         mayusi ka bar jana . her cheez ko karta howa pehla se he mayus ho jana yaha tak ka deen or dunia ka mamlaat main be mayus hona

·         apni qismat per rona ya bila waja rona

·         aksar mehsos karna pishab or pakhana ki smell ya gater ki smell

·          kamar  or sir main ahsa feel hona ka kohi cheeze picha se chipki howi ha or wazan k sath pain mehsos karna 

·         mobile ya telephone ki ring tune sunahe dena jab ghoor karo to ahsa kuch nahi hota . yeah zada tar safar karta howa mehsos hota ha ka mobile ki ring tone baj rahe ha jab check karo to ahsa kuch nahi hota

·          pishab garam or karta howa jalan mehsos karna .

·         ake dam ake kaan ya dono kaan ka band hona or seeti ya peeeee ki awaz dair tak sunahe dena

·         hath payar ka jalna or hath or pao main se girmi nikalna

·         bacho ka nafarman hona direct mana karna kohi be kam kaho to .

·         ghar main andera se mehsos hona ya ghar main beronaki mehsos karna

·         tabiyat ka bar bar kharab rehna . ajeeb se kafiyat hona

·         sote howa demage ka jagte rehna idher udher ki fazool soche or khayal atah rehna . ankhe band karloon tab be neend nahi ati demage chalta rehta ha

·         buzdil bana ya darpok bana under ake dar sahona


  • khoweb main pakhana deakna . zada tar pakakhana jo ha wo insan ka deakta ha or pishab ka deakna . pishab be zada tar insan ka deakta ha . kabe kabe apna app ko pishab or pakahan dono karta howa deak na . . ya apna app ko bathroom main deakha hoo. ya pakhana or pishab jisam main ya kapro main lagadeak na ho .  . matlab  yeah ka ghalazaat (gand gee) ko deakha ho apna khowab main.
  • sir main dard ya tees ka uth na . kabe yeah sir dard matha per atah ha kabe yeah sir dard adah sir dard hota ha kabe yeah sir dard demage main se hota howa gudi ki taraf jata ha kabe yeah sir dard ankh ka sath hota ha kabe yeah sir dard demage ko jakra howa mehsos hote howa hota ha . 
  • jisam main dard hona kabe poore jisam main dard hota ha to kabe jisam ka kuch hiso main dard hota ha kabe tango main dard hota ha to kabe gurdo main pain hota ha . kabe shoulders main dard hota ha to kabe kalahe or ungalio main . kabe back main pain hoti ha to kabe chest main 
  • sex ki talab bohat zada barna . bar bar zehen main sex karna ka khaylaat ana . dil ka bar bar chana ka sex kareen . bar bar private parts ka zehen main ana . or ushe bare main sochna . under se sex ki hawas kar khoob barna .
  • kamar main dard rehna . kabe kabe ahsa mehsos hona ka jaisa kamar jakre howa ha . ya kamar main pain mehsos karna . ya kabe kabe ahsa mehsos karna ka kamar ka phatah akar gahe ha kabe kabe kamar main ahsa mehsos karna ka kamar main tees uth rahe ha . ya phir kabe ahsa mehsos karna ka kamar main garmi ya jalna jaisa mehsos kar ka pain hona 


Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakhya ga 
amel soname

amel_soname@yahoo.com



kala jadu ki haqeeqat

Labels: , , , , , , , ,  
As salamu allaiqum,

kala jadu ki bohat se logo ko takleef ki shikayat ha . laken bohat se log jadu ko nahi maanta . wo yeah kehta ha ka kohi jadu wadu nahi hota or is ki haqeeqat ko nahi manta. or bohat se log ahsa be ha k jadu ko maanta ha . abb islami lehaz se deakha jahe to jadu ka zikar quran or hadees main moojood ha .

bohat se log jadu or jinnat ka asar ka victim ko deak kar mazaak urata ha ka deakho yeah nafsiyati ho gaya ha kaisa pagloon ki tarha ghoomta ha ya phir us ki takleef or majboore per hasta ha ya us ko or tang karta ha halaka ahsa nahi karna chahiya

jadu per logo ka q yaqeen nahi hota abb main is ko detail main samjhata ho

jadu per logo ka is liya yaqeen nahi hota q k yeah deakta nahi ha or yeah physcial nahi ha matlab ka kuch zahir ho . is ka asar bohat zada ghoor or fikar karna se maloom parta ha nahi to is ka victim lakh koshes karta rahe zindage main kabe kamyab nahi hota

abb agar kohi yeah kahe k mujha neend a rahe ha to app maan loon ga ya agar kohi yeah kahe ka mujha bhook lag rahe ha to be app maan loon ga k bhai us ko bhook lag rahe ha halaka yeah cheze physcially toor per nazar nahi a rahe or na he zahir ho rahe ha . laken phir be yeah cheezo per yaqeen ha q k yeah insan ka sath sath ha . laken jadu ka pata is liya nahi chalta qk yeah ake chupa howa fun ha . is ko shohro se he jadugaro na chupa ka rakha howa tha or wo be chup chup kar jadu karta tha taka victim ko ya kisi ko be pata na laga or hamara kam chalta rahe

quran main jadu ka bare main zikar ha

surah baqarah 102 اور ان (ہزلیات) کے پیچھے لگ گئے جو سلیمان کے عہدِ سلطنت میں شیاطین پڑھا کرتے تھے اور سلیمان نے مطلق کفر کی بات نہیں کی، بلکہ شیطان ہی کفر کرتے تھے کہ لوگوں کو جادو سکھاتے تھے۔ اور ان باتوں کے بھی (پیچھے لگ گئے) جو شہر بابل میں دو فرشتوں (یعنی) ہاروت اور ماروت پر اتری تھیں۔ اور وہ دونوں کسی کو کچھ نہیں سکھاتے تھے، جب تک یہ نہ کہہ دیتے کہ ہم تو (ذریعہٴ) آزمائش ہیں۔ تم کفر میں نہ پڑو۔ غرض لوگ ان سے (ایسا) جادو سیکھتے، جس سے میاں بیوی میں جدائی ڈال دیں۔ اور خدا کے حکم کے سوا وہ اس (جادو) سے کسی کا کچھ بھی نہیں بگاڑ سکتے تھے۔ اور کچھ ایسے (منتر) سیکھتے جو ان کو نقصان ہی پہنچاتے اور فائدہ کچھ نہ دیتے۔ اور وہ جانتے تھے کہ جو شخص ایسی چیزوں (یعنی سحر اور منتر وغیرہ) کا خریدار ہوگا، اس کا آخرت میں کچھ حصہ نہیں۔ اور جس چیز کے عوض انہوں نے اپنی جانوں کو بیچ ڈالا، وہ بری تھی۔ کاش وہ (اس بات کو) جانتے

(سورة البقرة, Al-Baqara, Chapter #2, Verse #102)

surah bakarah ki aiyat main saaf saaf zikar ha ka shaitan logo ko jadu sikhata tha 

  77 موسیٰ نے کہا کیا تم حق کے بارے میں جب وہ تمہارے پاس آیا یہ کہتے ہو کہ یہ جادو ہے۔ حالانکہ جادوگر فلاح نہیں پانے کے

(سورة يونس, Yunus, Chapter #10, Verse #77)

    63
کہنے لگے یہ دونوں جادوگر ہیں چاہتے ہیں کہ اپنے جادو (کے زور) سے تم کو تمہارے ملک سے نکل دیں اور تمہارے شائستہ مذہب کو نابود کردیں

64 تو تم (جادو کا) سامان اکھٹا کرلو اور پھر قطار باندھ کر آؤ۔ آج جو غالب رہا وہی کامیاب ہوا

 (سورة طه, Taa-Haa, Chapter #20, Verse #63)

abb hazate musa allai salam ka wakaya ha jab unho na jadugaro se mokabla kiya tha



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 
amel soname
amel_soname@yahoo.com






kala jado shaitani was waso ka quran pak se tor

Labels: , , , , ,  

As salamu allaiqum
kabe shaitan khod se was waso ka kala jadu dalta ha or bazz okat victum per shaitani was waso ka be amal karaya jata ha . is ka quran se tor agah batao ga . jis per ahsa jadu hota ha to  us ko ajeeb ajeeb khail ate ha sote oth ta beth ta her waquat wo sochta rehta ha ake demage mah us ka shaitani was wasa he ghoomta rehta ha wo sochta rehta ha kuch na kuch us ka zehan mah zada tar ulta ulta khail ate ha nafrate ka or marna ka nooksan pouchana ka kisi ko be larna jagar na ki
Alamat yeah ha
1 ghosa mah rehna or kisi ko tabah wa barbad deak kar kush hona ya tabah e wa barbade ka kamo mah hisa lena k liya zehan bana lena
2 namaz , quran Allah , hazoor nabi pak  se nafrate karna
3 chir chira rehna
4 nafseyate sa ho jana
5 pareshan rehna bohat zada
6 fikar mah rehna or soch na zada se zada
7 khamoosh rehna zada tar or tanhahe passand karna
Amal yeah ha
1 fajir ki namaz k baad surah fateha 300 dafa pareen
2 zohar ki namaz k baad surah falaq 200 dafa pareen
3 Allah ka naam ko 15 minute tak deakha dehan se
4 5 waquat ki namaz pareen or ghusal daily kareen
5 isha ki namaz k baad surah tariq pareen
6 or yeah namaz be pareen her namaz k baad 10 bar



inshallah tala is jado ka kuch he din mah tor ho jahe ga



Amel Soname Contact 

agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka ilawa  hamare kohi or dosare kisi be kisam ki  help support nahi ha 

dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com



Popular Posts