As salamu allaiqum
wesa to bohat se
alamateen ha jo jadu ki khwab main hoti ha laen kuch jo khas ha wo likh raha ho
jadugar jab kisi per jadu karta ha to us ko yeah sab nazar atah ha khab main
zaroori nahi ha ka sare alamateen nazar ai khab main jesa jadu jadugar kareen
ga wesa he alamat zahir hogi insan per
to yeah ha alamateen jo
khab main zahir hoti ha
2. Khwab mein kale saanp, bichu, chipkali, kutte, ya billi ka piche parna ya katna dekhna.
3. Bulandi se Girna Bar bar yeh dekhna ke aap kisi oonchi jagah ya pahar se neeche gir rahe hain. Ya building se gir rahe ha
4. Khwab mein aksar qabrastan, purani imaraten, ya sunsan dravni jaghen dekhna jahan koi maujood na ho.ya sehra deakna ya medan deakna
5. Khwab mein khoon dekhna, ya bar bar faut shuda afraad ko dekhna.
6. Kisi raste par chalte hue raste ka band ho jana ya manzil tak na pahonch pana. Ya tooti howi sarak deakna . ya raata main pair gira howa deakna . ya sarak main gada deakna
7. Khwab main larka larki ko naga deakna unko sex karwa howa deakna
8. Bar bar apne purane ghar, bachpan ke school, ya aisi jaghon ko dekhna jahan aap bachpan mein rehte thay.
9. Khwab mein bar bar khud ko imtihan dete dekhna aurpaper hal na kar pana ya waqt khatam ho jana.
10. Khwab mein khud ko bilkul andheri jagah ya kisi purani imarat mein tanha dekhna.
11. Dant Girna Khwab mein danton ka girna ya tootna bhi baaz auqat jadu ke asrat se jora jata hai.
12. Khwab mein bar bar ghost ya koi aisi cheez khate dekhna jo apko haqiqat mein pasand na ho, ya kisi anjan shakhs ke hath se khana khana.
13. Khud ko kisi kamray mein band dekhna ya zanjeeron mein jakhra hua mehsoos karna.
14. Gandi naliyan, kachray ke dhair, ya galeez jaghon par khud ko khara dekhna.
15. Kale parinday , chipkali, ya makri ya kali chonti , ka jism par charhna
16. Khwab mein kisi ki awaz sunna jo aap ka naam le kar pukar raha ho, lekin pukarane wala nazar na aaye.
17. Khwab mein munh se baal , suiyan , kile , ya kale rang ka mada nikalte dekhna jadu ki sakht alamat hai.
18. Musalsal ye dekhna ke aap kisi raste par ja rahe hain lekin rasta band hai ya aap bar bar bhatak kar wahi wapis aa rahe hain jahan se shuru kiya tha.
19. Kale kawway , chamgadar , makri ka jala , ya bahut zyada keeray makoray apne jism par dekhna.
20. Khwab mein shaadi ki tayari dekhna lekin ain mauqa par shaadi ka toot jana ya dulha/dulhan ka ghayab ho jana.
21. Khwab mein ganda pani (dirty water) dekhna ya khud ko aag ke sholon ke darmiyan phansa hua mehsoos karna.Baal aur Suia'n Khwab mein apne munh se lambe baal nikalte dekhna ya jism mein suia'n chubhti hui mehsoos karna jadu ki sakht alamat mani hai.
22. Ghosht Khwab mein kacha ya kharab ghosht dekhna, ya khwab mein khud ko ghosht khate dekhna
23. Khwab mein kisi kale libas wale shakhs ko dekhna jo apna chehra chupa raha ho ya aap ko dara raha ho.
24. Bar bar ye dekhna ke aap gande pani ya daldal mein doob rahe hain aur koi nikalne wala nahi hai.ya apna app ko samander main ya talab main deakna
25. Aise logon ko dekhna jin ke chehre janwaron jaise hon.
26. Khwab mein gair-Islami ibadat gahon, shaitan ka budh, ya jadu toney ki ashya ka bar bar nazar aana.
27. Khwab mein mehsoos karna ke aap kisi se bachne ke liye musalsal bhag rahe hain aur thak chuke hain, lekin peecha karne wala khatam nahi ho raha.
Amel
Soname Contact
agar apko kohi be sawal karna ha to mujha direct contact kareen. is email ka
ilawa hamare kohi or dosare kisi be kisam ki help support
nahi ha
dua main yaad rakheya ga
amel soname
amel_soname@yahoo.com